Jab Madine ki Faza me Be-qarar Aa Jayega
Tab Naseem-e-Faiz se Dil ko Qarar Aa Jayega
Jab Nigaho k Qareeb Unka Mazaar Aa Jayega
Jurm ki Bakhshish ka Dil me Aitbar Aa Jayega
Wo Na Daman ko hawa Dega kisi Dehleez par
Jo Dar-e-Doulat pe unke ek bar Aa jayega
Sab humare sar se lenge Daman-e-Bakhshish Samet
Phir Tere Daman pe sab dar-o-Madaar Aa jayega
Aur kise apni Pukaro se Gharaz hogi waha(n)
Ek wohi to hai jo ho ke Be-qarar Aa jayega
Hashr me chhat jayenge us waqt Badal Khouf ke
jis Ghari maida(n) me Ummi Taajdaar Aa jayega
Apne Sajdo ki khatayen bakhsh di jayengi sab
halat-e-Sajda me jab wo Ashk baar aa jayega
Sab ke sar Kohe-mihan honge nazar tujh par Shaha
ek Jaan-e-be-khata pe kitna baar Aa jayega
Kiska munh dekhega najdi sochiye phir hashr me
jab unhi ke hath me sab ikhtiyaar Aa jayega
Hum Agr jo naam le(n) Ahmad Raza ka Aaj bhi
Najd ki Duniya me Toofa(n) zor daar aa jayega
Ya ilahi bakhsh de ''Sayyed'' ko Roz-e-Hashr Tu
Kab ise Apni Khatao(n) ka Shumaar Aa jayega