Jab Sab Shaheed Ho Gey Koi Nahin Raha
Shabbir Nay Yeh Zainab E Dilgeer Say Kaha
Sun Lo Tum Apnay Bhai Ki Ik Baat Akhri
Pyaari Behen He Ab Yeh Mulaqaat Aakhri
Ham Ja Rahay Hai Jaan Luttaanay Kay Waastay
Bachpan Ka Aik Waada Nibhaanay Kay Waastay
Rakhna Khayaal Tum Mayray Beemar Laal Ka
He Imtihaan Aaj Muhammad Ki Aal Ka
Sun Kar Yay Baat Aansoo Behen Kay Nikal Parray
Shabbiir Jaan Daynay Ko Maktal Mai Chal Parray
Ye Hoassala Rasool Kay Nur E Nazar Ka Tha
Wallah Kya Kaleja Ali Kay Pisar Ka Tha
Pohanchay Husain Foaj E Sitam Ghar Kay Saamnay
Farmaya Ja Kay Aap Nay Lashkar Kay Saamnay
Sab Jaantay Ho Mujh Ko Meyn Sibbat E Rasool Hoon
Sher E Khuda Ka Laal Hoon Ibn E Batool Hoon
Tum Paani Band Kar Kay Jo Khush Ho Yeh Bhool Hai
Sabr O Razaa To Aal E Nabi Ka Usool Hai
Raazi Huun Ussi Pay Jo Marzi Khuda Ki Hai
Marzi He Jo Khuda Ki Wo Hi Mustafa Ki Hai
Eh Zaalimon Khudara Sadaaqat Say Kaam Lo
Moqa He Ab Bhi Daaman E Sarakar Thaam Lo
Warna Baha Kay Khoon Mayra Kuch Na Pa-O Gay
Marnay Kay Baad Seedhay Jahannum Mayn Ja-O Gay
Samjhaya Har Taraah Unhayn Pyaasay Imam Nay
Maani Na Un Ki Baat Magar Foaj E Shaam Nay
Aaya Taras Na Unko Muhammad Kay Chein Par
Chaaron Taraf Wo Toot Parray Wo Husain Par
Ghayra Shaah E Madina Kay Pyaasay Ko Is Tarah
Zakhmii Kiya Nabi Kay Nawaasay Ko Is Tarah
Kay, Tapti Huii Zameen Par Gira Sayada Ka Laal
Farmaya Ho Qabool Eh Rab E Zuljalaal
Qurbaani Yeh Husain Ki Hai Ibn E Batool Ki
Mahshar Mayn Bakhsh Dayna Tu Ummat Rasool Ki