Add Poetry

Jagan Nath Azad National Anthem

Poet: 1st National Anthem of Pakistan By: Lyrics, Hyderabad

Aye Sar Zameen e Pak

Zare tere hain aaj sitaron se tabnak
Roshan hai kehkashan se kahin aaj teri khak
Tundi-e-hasdan pe ghalib hai tera swaak
Daman wo sil gaya hai jo tha mudaton se chaak
Aye Sar Zameen e Pak

Ab apne azm ko hai naya rasta pasand
Apna watan hai aaj zamane main sar buland
Pohncha sake ga is ko na koi bhi ab gazand
Apna alm a hai chand sitaron se bhi buland
Ab ham ko dekhtey hain atarad hon ya samaak
Aye Sar Zameen e Pak

Utra hai imtehan main watan aaj kamyab
Ab huriat ki zulf nahin mahiv-e-paich-o-taab
Daulat hai apne mulk ki be had-o-be hisaab
Hon ge ham aap mulk ki daulat se faiz yab
Maghrib se hum ko khauf na mashriq se hum ko baak
Aye Sar Zameen e Pak

Apne watan ka aaj badalne laga nizam
apne watan main aaj nahin hai koi ghulam
apna watan hai rah-e-taraqi pe tez gam
azad, bamurad jawan bakht shad kaam
ab itr bez hain jo hawain thin zehr naak
Aye Sar Zameen e Pak

Zare tere hain aaj sitaron se tabnak
Roshan hai kehkashan se kahin aaj teri khak
Aye Sar Zameen e Pak

Rate it:
Views: 571
31 May, 2021
More Jagan Nath Azad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets