Add Poetry

Jahalat Ki Wajah

Poet: jahanzaib rajbi By: Jahanzaib, Jhang

Khila Hua Gulzar Jo Ab Murjha Gaya Ha
Qismat Ka Qarina Palat Kha Gaya Hai

Munawar Tha Yeh Jahan Ilam K Noor Se
Ghaflat O Jahalat Ka Andhera Assar Pa Gaya Hai

Har Mor Par Jaltey The Diyey Asool K
Jis Ka Zameer Tha Alim Wahi Dhoka Pa Gaya Hai

Yeh Qom Chal Rahi Hai Bad Unwani K Rastey Par
Logon K Zameer Ko Yeh Behka Gaya Hai

Jab Hone Lagey Apne Hi Dushman
Yeh Lashkar Aman Ka Assar Pa Gaya Hai

Haraam Rishwat Dolat Our Zaroorat Ka Har Koi Talab Gar Hai Yahan
Lalach Our Hawwas Ka Poojari Ghanimat Pa Gaya Hai

Ik Talab Hai Meri Ik Faryad Hai Meri
Ik Aah Hai Meri Ik Pukar Hai Meri

Badtar Yeh Zindagi Badal Jaey Gi
Umeed Ki Kiran Nazar Aaey Gi

Phir Se Bas Jaey Ga Rab Dilon Main
Jo Kashkol Hai Khali Woh Bhar Jaey Gi


 

Rate it:
Views: 2305
26 Sep, 2019
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets