Jahan Mabud Thahraya Gaya Hun
Wahin Suli Pe Latkaya Gaya Hun
Suna Har Bar Mera Kalma-E-Sidq
Hazaron Bar Dafnaya Gaya Hun
Azal Ke Din Se Tarsaya Gaya Hun
Taras Kaisa Ki Is Dar-Ul-Bala Men
Ba-Hukm-E-Khas Bhejwaya Gaya Hun
Dawami Azmaton Ke Maqbare Men
Kabhi Mazi Ka Jaise Tazkira Ho
Lahu Se Apne Nahlaya Gaya Hun
Abhi Tadfin Baqi Hai Abhi To
Abhi To Sirf Pighlaya Gaya Hun
Na Jaane Kaun Se Sanche Men Dhaalen
Zaban Par Is Tarah Laya Gaya Hun
Main Is Hairat-Sara-E-Ab-O-Gil Men
Magar Har Bar Jhuthlaya Gaya Hun