Add Poetry

Janum Din

Poet: By: Al Mitra, Karachi

Mein Ne Chaha
Tere Janum Din Par
Aisa Thufa Teri Nazar Karon
Jisay Tu Umar Bhar Yaad Rakhay
Pher Ik Lamhay Ki Soch Ne
Mene Haath Buland Kiey
Duaon K Panchee
Dil Ki Gharaiyun Se Aazad Kia
Kh Aaney Walay Mosumon Mein
Ghum Ki Ghatain
Kabhi Tere Qareeb Na Aain
Teri Aankhon K Gugno Sada Chamkain
Khuda ! Tera Daman Humasha Musaraton Se Humkinar Karay
Kabhi Jo Tu
Zindagi Ki Karee Dhoop Mein
Dhalti Umar Ki Shaam Mein
Palat Kar Dekhay
Tu Bohat Se Khush Rung Yaadain
Gulaab Lahjon Ki Dil Farab Baatain
Betain Lamhon Ki Chandni
Tere Weran Dil Ko Bhar Karay
Tu Har Guzartey Lamhay Se Pyaar Karay
Aur Khuda-E-Lamyazal
Teri Umar Daraz Karay
Aameen
 

Rate it:
Views: 729
05 Feb, 2010
Related Tags on Occassional / Events Poetry
Load More Tags
More Occassional / Events Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets