Jaun Elia Poetry on Eyes
Poet: Jaun Elia By: John, KarachiHijr Ki Aankhon Se Aankhen To Milate Jaiye
 hijr mein karna hai kya ye to batate jaiye 
 
 ban ke khushbu ki udasi rahiye dil ke bagh mein 
 dur hote jaiye nazdeek aate jaiye 
 
 jate jate aap itna kaam to kije mera 
 yaad ka sara sar-o-saman jalate jaiye 
 
 reh gai umeed to barbaad ho jaunga main 
 jaiye to phir mujhe sach-much bhulate jaiye 
 
 zindagi ki anjuman ka bas yahi dastoor hai 
 barh ke miliye aur mil kar dur jate jaiye 
 
 aakhirash rishta to hum mein ek khushi ek gham ka tha 
 muskuraate jaiye aansu bahate jaiye 
 
 wo gali hai ek sharabi chashm-e-kafir ki gali 
 us gali mein jaiye to larkha dete jaiye 
 
 aap ko jab mujh se shikwa hi nahi koi to phir 
 aag hi dil mein lagani hai lagate jaiye 
 
 kuch hai khwabon se tabiron ki samton mein to phir 
 jaiye par dam ba dam barbaad jate jaiye 
 
 aap ka mehman hun main aap mere mezban 
 so mujhe zahr-e-murawwat to pilate jaiye 
 
 hai sar-e-shab aur mere ghar mein nahin koi charagh 
 aag to is ghar mein jaanana lagate jaiye







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 