Jo Sahifon Men Likhi Hai Wo Qayamat Ho Jae
Gar Mohabbat Dil-E-Insan Se Bhi Rukhsat Ho Jae
Dewtaon Ki Tarah Un Se Aqidat Ho Jae
Apne Jaise Kisi Zalim Se Mohabbat Ho Jae
Bad-Dua Usne Mujhe Di Hai Ki Ruhi Tujhko
Rafta Rafta Mujhe Tanhai Ki Aadat Ho Jae
Kahin Aisa Na Ho Ki Tanha Yunhi Rahte Rahte
Aasmanon Ke Khuda Tujhko Bhi Hairat Ho Jae
Tu Zaminon Pe Utar Kar Jo Guzare Ek Din
Kuchh Bashar Aise Bhi Hote Hain Ki Jin Se Mil Kar