Jo Shakhs Bhi Apna Qad-o-Qaamat Nahi Rakhta,

PoetMohsin Submitted byjunaid Ellahi
Text size

Jo Shakhs Bhi Apna Qad-o-Qaamat Nahi Rakhta
Woh Shehr K Aaeeny Salaamat Nahi Rakhta

Mujh Sy Yeh Shikayat Hai Miry Charagaron Ko
Main Zakhm Chhupany Ko Alaamat Nahi Rakhta

Woh Dost Agar Hai To Mujhy Haosla Bakhshay
Dushman Hai To Kiyun Harf_e_Malaamat Nahi Rakhta?

Yeh Ehd_e_Baghaawat Hai Karo Fikr Saron Ki
Dastaar To Koi Bhe Salaamat Nahi Rakhta

Raas Aa Hi Gaya Tark_e_Ta'aluq Usay Aakhir
Aankhon Mein Woh Pehli Si Nadaamat Nahi Rakhta

Ab Kis Ki Tasalli Ko Ghazal Sochiay Mohsin
Ab Kon Yahan Dill Mein Qayaamat Nahi Rakhta

Related tags on Parveen Shakir poetry

More Mohsin Naqvi Poetry

Mohsin Naqvi Mohsin Naqvi
Raheel Ali
Copied