Ye Qoum Mukhtalif "Buhran"
Say Do Char Hai
Phir Bhi Zindagi Ma
Gunaho Ki Bhar-Mar Hai
Apny Rab Ko Naraz Kar K
Kesay Taraqi Kar Sakty Ho Tum
Wo Hi Tu Is Dunya Ka
Malik-O-Mukhtar Hai
Ek Din Marna Ha Akhir Mout Hai
Kiya Tumhy Is Bat Say Inkar Hai
Mout Kafi Hai Naseehat K Liye
Phir Q Tu Dunya Ki Mohobat
Ma Giraftar Hai
Dil Ko Dunya Ki Mohobat Say Bacha Lo
Phir Tu Man Le Gay K Tuhmara
Aqlmando Ma Shumar Hai
Ehkam-E-Khudawandi Par
Amal-Pera Hony Ki
Is Mulk Ko Zarorat Hai
Mulk Kia....... Pori Dunya
Ko Zarorat Hai
Hum Tu Itny Gunhagar Hai
Siya-Car Hai
Us Ka Hi Fazal Hai K
Hum Gunhagaro Ki Sansain
Ab Bhi......Barqarar Hai
Jo Kuch Bhi Howa
Hum Us K Zimadar Hai
Har Jurm Ka
Ay Mery ALLAH
Tery Agay Aqrar Hai
Ay Mery Parwardegar
Hum Par Raham Kar De
Hum Musalmano Ko Phir
Ba-Amal Bana De
Kuffar Par Galba Ata Kar De
Hum Is Ghulami Ki Zindagi Say Bezar Hai.
Mulky Pakistan Ko Khush-Hal Kar De
Aj Hamara Mulk
Bad-Hali Ka Shikar Hai
Bus Ek Bar Karam Ki Barish Kar De
Is Mulk Ma Aman Ki Fiza Qaim Kar De
Hum Bus Teri Hi Rehmat K
Talab-Gar Hai