Add Poetry

Kabe Ki Ronak Kabe Ka Manzar Lyrics

Poet: Izaan By: Izaan, Hafizabad

Kaabe Ki Raonak Kaabe Ka Manzar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Dekhu To Dekhe Jaun Barabar
Allahu Akbar Allahu Akbar

Hairat Se Khud Ko Kabhi Dekhta Hu
Aur Dekhta Hu Kabhi Main Haram Ko
Laya Kahan Mujhko Mera Muqaddar
Allahu Akbar Allahu Akbar

Hamd E Khuda Se Tar Hai Zabane
Kaano Me Rass Ghaolti Hai Azaane
Bas Ek Sada Aa Rahi Hai Barabar
Allahu Akbar Allahu Akbar

Mangi Hai Maine Jitni Duae
Manzoor Hongi Maqbool Hongi
Mizaab E Rehmat Hai Mere Sar Par
Allahu Akbar Allahu Akbar

Tere Karam Ki Kya Baat Maula
Tere Haram Ki Kya Baat Maula
Taa Umr Karde Aana Muqaddar
Allahu Akbar Allahu Akbar

Yaad Aagayi Jab Apni Khataye
Ashko Me Dhalne Lagi Iltijaye
Roya Gilaf E Kaaba Pakad Kar
Allahu Akbar Allahu Akbar

Dekha Safa Bhi Marwa Bhi Dekha
Rab Ke Karam Ka Jalwa Bhi Dekha
Dekha Rawa Ek Saron Ka Samandar
Allahu Akbar Allahu Akbar

Kaabe Ke Upar Se Jaate Nahi Hai
Kisko Sabak Yeh Sikhate Nahi Hai
Kitne Moadab Hai Yeh Kabutar
Allahu Akbar Allahu Akbar

Bheja Hai Jannat Se Tujhko Khuda Ne
Chuma Hai Tujh Ko Khud Mere Mustafa Ne
Aye Hajr E Aswad Tera Muqaddar
Allahu Akbar Allahu Akbar

Jis Par Nabi Ke Kadam Ko Sajaya
Apni Nishani Keh Ke Bataya
Mehfooz Rakha Rab Ne Yeh Patthar
Allahu Akbar Allahu Akbar

Rate it:
Views: 191
06 Aug, 2025
Related Tags on Islamic Poetry
Load More Tags
More Islamic Poetry
Kya Tum Mere Hussain Ho Lyrics Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Kaise pade hai jism ke
Tukde juda juda
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Kaise pade hai jism ke
Tukde juda juda
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Haye haye mere ghareeb ka
Kya haal kar diya
Ghodo'n se lasha dasht mein
Pamaal kar diya
Pehchanu kis tarah se, Badan se hai sar juda
Kya tum mere Hussain hoHussaini merchandise
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Pehchan lun gi mai tumhe
Awaaz mujh ko do
Dam todte jo dekha hai
Kadyal jawaan ko
Ankhon mai ab behen ki, Ujala nahi raha
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Pehchanna tumhare liye
bhi Kathan howa
Dekha hai pehli baar jo
Zainab ko berida
Aati hai sharm jald, Bata do mujhe zara
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain hoHussaini merchandise
Karta raha hai zibha ki
Koshish kaha'n kaha'n
Khanjar pe hai kati hui
Gardan pe bhi nisha'n
Kaata hai kis tarah se
Sitamgaar ne galaa
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Kya le gaye hai loot ke
Sab kuch ye ashqiya'n
Tan par bacha hai maa ka ye
Kurta sila hua
Nikle the jab khayam se
Ye haal to na tha
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Ahista se jawab do
Hai sath us ke maa
Kya ab tumhare paas hai
Masoom be zuba'n
Nanha sa lasha kis ka ye
Seene pe hai rakha
Kiya tum mere Hussain hoHussaini merchandise
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Dekho bandhi hai hatho'n mein
Mere bhi rassiya
Ab aur lo behen ki na
Ghurbat ka imteha'n
Kuch to jawab do mujhe
Sughra ka wasta
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Woh bhi tumhare tarha se
Zakhmi na ho kahi'n
Dil ko mere ye lagta hai
Maujood hai yahi'n
Aati hai maa ke rone ki
Nazdeek se sada
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain hoHussaini merchandise
Zainab pukari Mir takallum basad malaal
Kya marte waqt bhi mere
Parde ka tha khayal
Hai muthiyo'n mein kis liye
Yeh khaak e karbala
Kya tum mere Hussain ho
Patthar hata ke lash se, Zainab ne di sada
Kya tum mere Hussain ho
Mubeen
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets