Khuli Zulaf Ghataien Qatil Nigahein Wo Tera Kiya Lagta Hai
Kahan Tu Ahsin Kam-Zarf Shakas Wo Bara Lagta Hai
Mana Ke Mere Nagar Mein Tum Jesa Koi Nahin
Magar Jisy Daikhon Wo Tum Sa Lagta Hai
Teerngi K Is Aalm Mein Tu Likh Ik Or Ghazal
K Tujhse Tera Raazdan Bhi Khafa Lagta Hai
Beshak Be-Khudi Be-Sabab Nahin Hoti Ustad
Be-Khudi Mein Bhi Kuch To Pata Lagta Hai
Tu Nahin To Zindagi Bhi Be-Jaan Si Lagti Hai
Sach Kahon To Ye Jeena Bhi Ek Saza Lagta Hai
Jis Ghar Mein Ho Teerngi Ka Karwaan Rwaan
Us Ghar Mein Andhera Bhi Shama Lagta Hai
Bichhar Kar Ham Sey Sajna Usko Bhi Nahin Aata
Ye Jhoot hi Sahi Koi Sach Kahe To Bura Lagta Hai
Meri Jaan K Dushman Nikly Hain Sehra Mein Dhoondny Mujhe
Ye Tamana Ye Tarap Ye Takluf Ye Qadam-e-Wafa Lagta Hai
Kash K Ye Rooh Bhi Hoti Isee Khak-Duhan Sey Alag
In Dinon Apne Aap Se Milna Baat Karna Achha Lagta Hai
Hamein Yaad Hai Wo Bachhpan Mein Buhat Sa Rona Bhi Lekin
Ab To Ahsin Aankhon Mein Ek Dariya Lagta Hai