Add Poetry

Kahne Ki Bat Ho To Use Kah

Poet: Altaf Hussain Hali By: Rashid Lateef, Islamabad

Kahne Ki Bat Ho To Use Kah Sunayiye
Jo Dil Pe Ban Rahi Ho, Kyon Kar Dikhayiye

Dunya Ki Ho Hawas To Dil-O-Din Ginwayiye
Yan Khoyiye Bahut-Sa To Kuch Ja K Payiye

Ye Kya K Dil Hai Dair Mein Aur Kabe Mein Maqam
Ho Rahiye Bas Wahin K, Jahan Dil Lagayiye

Gar Jan Ka Zarar Hai Mohabbat Mein Naseho
Ham Jan Hi Se Baithe Hain Bezar Jayiye

Aur Aitabar Khote Hi Apna Raha-Saha
Bas A Gaya Yaqin Hamein, Qasmein Na Khayiye

Hoti Hujum-E-Gam Mein Hai, Kyon Zahar Ki Talash
‘Hali’ Batayen Ap Ko, Gar Kuch Khilayiye
 

Rate it:
Views: 1891
24 Aug, 2012
Related Tags on Altaf Hussain Hali Poetry
Load More Tags
More Altaf Hussain Hali Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets