Kal Chaudhvin Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tira
Kuchh Ne Kaha Ye Chand Hai Kuchh Ne Kaha Chehra Tira
Ham Bhi Vahin Maujud The Ham Se Bhi Sab Puchha Kiye
Ham Hans Diye Ham Chup Rahe Manzur Tha Parda Tira
Is Shahr Men Kis Se Milen Ham Se To Chhutin Mahfilen
Har Shakhs Tera Naam Le Har Shakhs Divana Tira
Kuche Ko Tere Chhod Kar Jogi Hi Ban Jaa.En Magar
Jangal Tire Parbat Tire Basti Tiri Sahra Tira
Ham Aur Rasm-E-Bandagi Ashuftagi Uftadgi
Ehsan Hai Kya Kya Tira Ai Husn-E-Be-Parva Tira
Do Ashk Jaane Kis Liye Palkon Pe Aa Kar Tik Ga.E
Altaf Ki Barish Tiri Ikram Ka Dariya Tira
Ai Be-Daregh O Be-Aman Ham Ne Kabhi Ki Hai Fughan
Ham Ko Tiri Vahshat Sahi Ham Ko Sahi Sauda Tira
Ham Par Ye Sakhti Ki Nazar Ham Hain Faqir-E-Rehguzar
Rasta Kabhi Roka Tira Daman Kabhi Thama Tira
Haan Haan Tiri Surat Hasin Lekin Tu Aisa Bhi Nahin
Ik Shakhs Ke Ash.Ar Se Shohra Hua Kya Kya Tira
Bedard Sunni Ho To Chal Kahta Hai Kya Achchhi Ghazal
Ashiq Tira Rusva Tira Sha.Ir Tira 'Insha' Tira