Kamaal-E-Zabt Ko Khud Per Bhi Azmaun Gi
Main Apne Haath Se Us Ki Dulhan Sajaun Gi
Supurd Kar K Use Chaandni K Haathoon
Main Apne Ghar K Andheron Ko Laut Aun Gi
Badan K Karb Ko Vo Bhi Samajh Na Pai Ga
Main Dil Men Roun Gi Aankhon Mein Muskaraun Gi
Wo Kyaa Gaya K Rafaaqat K Saaray Lutf Gaye
Main Kis Se Roothoon Gi Kise Manaun Gi
Wo Ik Rishta-E-Be Naam Bhi Nahi Lakin
Main Ab Bhi Us K Ishaaron Pe Sar Jhukaun Gi
Bichha Diya Tha Gulabon K Saath Apna Vujood
Wo So K Uthe To Khawabon Ki Raakh Uthaun Gi
Ab Us Ka Fun To Kisi Aur Se Mansoob Ho Gaya
Main Kis Ki Nazm Akele Mein Gun Gunaun Gi
Jawaaz Dhoondh Raha Tha Nai Mohabbat Ka
Wo Keh Raha Tha K Main Us Ko Bhool Jaun