Jab Qata Ki Masafat E Shab Aaftaab Ne
Jalwa Kiya Sahar Ke Rukhe Behijaab Ne
Dekha Suwe Falaq Shahe Gardoon Rakaab Ne
Mudh Kar Sada Rafeeqo Ko Di Us Janaab Ne
Aakhir Hai Raat Hamd O Sanaye Khuda Karo
Utho Fareezaye Sahri Ko Ada Karo
Haan Ghaaziyon Ye Din Hai Jidaal O Qitaal Ka
Yaan Khoon Bahega Aaj Mohammad Ki Aal Ka
Chehra Khushi Se Surkh Hai Zahra Ke Laal Ka
Guzri Shabe Firaaq Din Aaya Visaal Ka
Hum Wo Hain Gham Karenge Malak Jin Ke Waastey
Raatein Tadap Ke Kaati Hai Is Din Ke Waastey
Ye Sunke Bistaron Se Uthe Wo Khuda Shinaas
Ek Ek Ne Zebe Jism Kiya Fakhira Libaas
Shane Muhasino Mein Kiye Sab Ne Be Hiraas
Baandhe Amame Aaye Imame Zaman Ke Paas
Rangeen Abaayein Dosh Pe Kamre Kasey Huwe
Muskh O Zibaad O Itr Mein Kapde Basey Huwe
Khaime Se Nikle Shay Ke Azeezaane Khush Khisaal
Jin Mein Kayi Thay Hazrate Khairun Nisa Ke Laal
Qasim Sa Gul Badan Ali Akbar Sa Khush Jamaal
Ek Jaa Aqeel O Muslim O Jafar Ke Nau Nihaal
Sab Ke Rukhon Ka Noor Sipahre Bareen Pa Tha
Athara Aaftaabon Ka Ghuncha Zameen Pa Tha
Nagaah Charkh Par Khate Abyaz Huwa Ayaan
Tashreef Jaanemaaz Pe Laaye Shahe Zamaan
Sajjade Bich Gaye Aqabe Shahe Ins O Jaan
Saute Hasan Se Akbar E Mahrooh Ne Di Azaan
Har Ek Ki Chashm Aansuon Se Dab Daba Gayi
Goya Sada Rasool Ki Kaano Mein Aagayi
Namoose Shaah Rotey Thay Khaime Mein Zaar Zaar
Chupke Khadi Thi Sahn Mein Bano E Naamdaar
Zainab Balayein Leke Ye Kahti Thi Baar Baar
Sadqe Namaziyoon Ke Muazzin Ke Main Nisaar
Karte Hain Yoon Sana O Sifat Zul Jalaal Ki
Logon Azaan Suno Meri Yousuf Jamaal Ki
Ye Husn E Saut Aur Ye Qirat Ye Shad O Madd
Haqqa Ke Afsahul Fusuha Thay Inhi Ke Jadd
Goya Hai Lahn E Hazrat E Dawoode Ba Khiradd
Ya Rabb Rakh Is Sada Ko Zamane Mein Taa Abadd
Shu’be Sada Mein Pankhadiyaan Jaise Phool Mein
Bul Bul Chahak Raha Hai Riyaaz E Rasool Mein
Saf Mein Huwa Jo Naraye Qad Qaamatis Salaat
Qaim Huwi Namaaz Uthey Shahe Qainaat
Wo Noor Ki Safein Wo Musalli Falak Sifaat
Sardaar Ke Qadam Ke Taley Thi Rahe Nijaat
Jalwa Tha Ta Ba Arshe Mu’alla Hussain Ka
Mus Haf Ki Lauh Thi Ke Musalla Hussain Ka
Quraan Khula Huwa Ke Jama’at Ki Thi Namaaz
Bismillah Aagey Jaise Ho Yoon Thay Shahe Hijaaz
Satrein Thi Ya Safein Aqab E Shahe Sarfaraaz
Karti Thi Khud Namaaz Bhi Inki Adaa Pe Naaz
Sadqe Sahar Bayaaz Pe Bainas Sutoor Ki
Sab Aayatein Thi Mus Hafe Naatikh Ki Noor Ki
Dunya Se Uth Gaya Wo Qayaam Aur Wo Qaood
Inke Liye Thi Bandagi Wajibul Wujood
Wo Ajz Wo Taweel Ruku Aur Wo Sujood
Ta’at Mein Neest Jaantey Thay Apni Hast O Bood
Taqat Na Chalne Phirne Ki Thi Haath Paon Mein
Gir Gir Ke Sajde Karte Thay Taghoon Ki Chaon Mein
Farigh Huwe Namaaz Se Jab Qibla O Anaam
Aaye Musafahe Ko Jawaanan E Tashnakaam
Chume Kise Ne Dast E Shahinshaah E Khaas O Aam
Aakhein Miley Kisi Ne Qadam Par Ba Ehteraam
Kya Dil Thay Kya Sipaah E Rasheed O Sayeed Thi
Ba Ham Mu’anaqe Thay Ke Marne Ki Eid Thi
Zaari Thi Ilteja Thi Munajaat Thi Idhar
Waan Sar Kashi O Zulm O Ta’addi O Shor O Shar
Kahta Tha Ibne Saad Ye Jaa Jaa Ke Nahr Par
Ghatoon Se Hoshiyaar Tarayi Se Ba Khabar
Do Roz Se Hai Tashna Dahani Hussain Ko
Haan Martey Dam Bhi Deejiyo Na Pani Hussain Ko
Baithey Thay Jaanemaaz Pe Shahe Falak Sareer
Nagaah Qareeb Aake Girey Teen Chaar Teer
Dekha Har Ek Ne Mudhke Suwe Lashkar E Kaseer
Abbas Uthey Tol Ke Shamsheer Be Nazeer
Parwane Thay Siraaj E Imamat Ke Noor Par
Rokey Sipar Huzoor Karamat Zahoor Par
Akbar Se Mudhke Kahne Lage Sarware Zamaan
Baandhe Hai Sarkashi Pa Kamar Lashkare Giraan
Tum Jaake Kahdo Khaime Mein Ye Ay Pidar Ki Jaan
Bachon Ko Leke Sahn Se Hatt Jaaye Bibiyaan
Ghaflat Mein Teer Se Koi Bacha Talaf Na Ho
Darr Hai Mujhe Ke Gardane Asghar Hadaf Na Ho
Kahte Thay Ye Pisar Se Shahe Aasmaan Sareer
Fizza Pukari Deordhi Se Ay Khalq Ke Ameer
Hai Hai Ali Ki Betiyaan Kis Jaa Ho Goshgeer
Asghar Ke Gahware Tak Aakar Girey Hain Teer
Garmi Se Saari Raat Ye Ghut Ghut Ke Roye Hain
Bachey Abhi Tou Sard Hawa Paake Soye Hain
Baqir Kahin Parha Hai Sakina Kahin Hai Ghash
Garmi Ki Fasl Ye Tab O Taab Aur Ye Atash
Ro Ro Ke Sogaye Hain Sagheerane Maahwash
Bachon Ko Leke Yaan Se Kahan Jaaye Faqa Kash
Ye Kis Khata Pe Teer Piya Pe Barastey Hain
Thandi Hawa Ke Waastey Bachey Tarastey Hain
Uthey Ye Shor Sunke Imame Falaq Viqaar
Deordhi Tak Aaye Dhaloon Ko Roke Rafiq O Yaar
Farmaya Mudhke Chaltey Hain Ab Bahre Kaarzaar
Kamre Kasoo Jihaad Pe Mangwao Raahwaar
Dekhein Fizaa Behisht Ki Dil Baagh Baagh Ho
Ummat Ke Kaam Se Kahin Jaldi Firaagh Ho
Khaime Mein Jaake Shay Ne Ye Dekha Haram Ka Haal
Chahre Tou Faqq Hai Aur…
Zainab Ki Ye Dua Thi Ke Ay Rabbe Zuljalaal
Bach Jaaye Is Fasaad Se Khairun Nisa Ka Laal
Bano E Naik Naam Ki Khaiti Hari Rahey
Sanndal Se Maang Bachon Se Godhi Bhari Rahey
Boley Qareeb Jaake Shahe Aasmaan Janaab
Muztar Na Ho Dua’en Hain Tum Sab Ki Mustajaab
Maghroor Hain Khata Pe Ye Sab Khanuma Kharaab
Khud Jaake Mein Dikhata Hoon Inko Rahe Sawaab
Mauqa Nahi Bahan Abhi Faryaad O Aah Ka
Laao Tabarrukaat Risaalat Panaah Ka
Meraaj Mei Rasool Ne Pahna Tha Jo Libaas
Kashti Mein Laayi Zainab Usey Shahe Deen Ke Paas
Sar Par Rakha Amamae Sardare Haq Shinaas
Pahni Qabaye Paak Rasoole Falaq Asaas
Bar Mei Durust O Chust Tha Jama Rasool Ka
Rumaal Fatima Ka Amama Rasool Ka
Kapdoon Se Aarahi Thi Rasoole Zaman Ki Bu
Dulha Ne Sunghi Hogi Na Aisi Dulhan Ki Bu
Hyder Ki Fatima Ki Hussain O Hasan Ki Bu
Pheli Huwi Thi Chaar Taraf Panjetan Ki Bu
Lut Ta Tha Itr Waadi Ambar Sarisht Mein
Gul Jhumtey Thay Baagh Mein Rizwaan Behisht Mein
Poshaak Sab Pahan Chukey Jis Dam Shahe Zaman
Lekar Balaein Bhai Ki Ronay Lagi Bahan
Kehti Thi Hai Aaj Nahi Hyder O Hasan
Amma Kahan Se Laye Tumhe Ab Ye Be Watan
Rukhsat Hai Ab Rasool Ke Yusuf Jamaal Ki
Sadqe Gayi Balein Tou Lo Apne Laal Ki
Hathyaar Idhar Laga Chuke Moula E Khaas O Aam
Tayyar Udhar Huwa Alam E Sayyide Anaam
Duaaein Maangti Gird Thi Saidaniyaan Tamaam
Roti Thi Thaamey Chobe Alam Khwahare Imaam
Teghein Kamar Mei Dosh Pe Shamley Padey Huwe
Zainab Ke Laal Zere Alam Aa Khade Huwe
Gah Maa Ko Dekhte Thay Kabhi Jaanibe Alam
Na’ra Kabhi Ye Tha Ke Nisaar E Shahe Umam
Karte Thay Dono Bhai Kabhi Mashware Baham
Aahista Poochtey Kabhi Ma Se Wo Zee Hasham
Kya Qasd Hai Alliye Wali Ke Nishaan Ka
Amma Kise Milega Alam Nana Jaan Ka
In Nanhe Nanhe Haathon Se Uthega Ye Alam
Chotey Qadoon Mein Sabse Sinoo Mein Sabho Se Kam
Nikle Tanoo Se Sibte Nabi Ke Qadam Pe Dam
Ohda Yahi Hai Bas Yahi Mansab Yahi Hasham
Rukhsat Talab Agar Ho Tou Ye Mera Kaam Hai
Maa Sadqe Jaaye Aaj Tou Marne Mein Naam Hai
Phir Tum Ko Kya Buzurg Thay Jo Fakhre Roz Gaar
Zeba Nahi Hai Wasf E Izafi Pe Iftekhaar
Johar Wo Hai Jo Taegh Karey Aap Aashkaar
Dikhlado Aaj Hyder O Jafar Ki Kaarzaar
Tum Kyon Kaho Ke Laal Khuda Ke Wali Ke Hain
Faujein Pukare Khud Ke Nawase Ali Ka Hain
Ab Jisko Tum Kaho Usey Dein Fouj Ka Alam
Ki Arz Jo Salaah Shahe Aasmaan Hasham
Farmaya Jabse Uthgayi Zahra E Ba Karam
Us Din Se Tumko Maa Ki Jagah Jaantey Hain Hum
Malik Ho Tum Buzurg Koi Ho Ke Khurd Ho
Jisko Kaho Usiko Ye Ohda Sipard Ho
Boli Bahan Ke Aap Bhi Tou Lein Kisi Ka Naam
Hai Kis Taraf Tawajjo E Sardar O Khaas O Aam
Gar Mujhse Poochtay Hain Shahe Aasmaan Maqaam
Quran Ke Baad Hai Tou Ali Hi Ka Kuch Kalaam
Shaukat Mein Qadd Mein Shaan Mein Humsar Nahi Koi
Abbas E Naamdaar Se Behtar Nahi Koi
Aashiq Ghulaam Khadim E Dereena Jaan Nisaar
Farzand Bhai Zeenate Pehlu Wafa Shi’aar
Jarrar Yaadgaar E Pidar Fakhre Rozgaar
Rahat Rasaa Mutee O Namudaar O Naamdaar
Safdar Hai Sher Dil Hai Bahadur Hai Naik Hai
Bemisl Saekdon Mein Hazaroon Mein Aik Hai
Aakhon Mein Ashk Bhar Ke Ye Boley Shahe Zaman
Haan Thi Yahi Ali Ki Wasiyyat Bhi Ay Bahan
Acha Bulayein Aap Kidhar Hai Wo Saff Shikan
Akbar Chacha Ke Paas Gaye Sunke Ye Sukhan
Ki Arz Intezaar Hai Shahe Ghuyoor Ko
Chaliye Phuphi Ne Yaad Kiya Hai Huzoor Ko
Abbas Aaye Haathon Ko Jordhe Huzoor E Shaah
Jao Bahan Ke Paas Ye Bola Wo Deen Panaah
Zainab Wahin Alam Liye Aayi Ba Izzo Jaah
Boley Nishaan Ko Leke Shahe Arsh Baargaah
Inki Khushi Wo Hai Jo Riza Panjetan Ki Hai
Lo Bhai Lo Alam Ye Inayat Bahan Ki Hai
Munh Karke Suwe Qabre Ali Phir Kiya Khitaab
Zarre Ko Aaj Kardiya Moula Ne Aaftaab
Ye Arz Khaaksaar Ki Hai Ya Abu Turaab
Aaqa Ke Aagey Hoon Mein Shadath Se Bahre Yaab
Sar Tan Se Ibne Fatima Ke Ru Baru Girey
Shabbir Ke Paseene Pe Mera Lahu Girey
Ye Sunke Aayi Zaojaye Abbas E Naamwar
Shohar Ki Simpt Pehle Kinkhiyoon Se Ki Nazar
Lee Sibte Mustafa Ki Balayein Ba Chashme Tar
Zainab Ke Gird Phirke Ye Boli Wo Nauhagar
Faiz Aap Ka Hai Aur Tasadduq Imaam Ka
Izzat Badi Kaneez Ki Rutba Ghulaam Ka
Sar Ko Laga Ke Chathi Se Zainab Ne Ye Kaha
Tu Apni Maang Kookh Se Thandi Rakhe Sada
Ki Arz Mujhse Laakh Kaneezein Hoon Tou Fida
Bano E Naamwar Ko Suhaagan Rakhe Khuda
Bachey Jiye Taraqqiy E Iqbal O Jaah Ho
Saaye Mein Aap Ke Ali Akbar Ka Byaah Ho
Naagaah Aakey Bali Sakina Ne Ye Kaha
Kaisa Hai Ye Hujoom Kidhar Hai Mere Chacha
Ohda Alam Ka Unko Mubarak Karey Khuda
Logoon Mujhe Balayein Tou Lene Do Ek Zara
Shaukat Khuda Badhaye Mere Ammu Jaan Ki
Mein Bhi Tou Dekhoon Shaan Ali Ke Nishaan Ki
Abbas Muskura Ke Pukarey Ka Aao Aao
Ammu Nisaar Pyaas Se Kya Haal Hai Batao
Boli Lipat Ke Wo Ke Meri Mashq Lete Jaao
Ab Tou Alam Mila Tumhein Pani Mujhe Pilaao
Tohfa Na Koi Deejiye Na In’aam Deejiye
Qurbaan Jaaon Pani Ka Ek Jaam Deejiye
Nagaah Badhey Alam Liye Abbas E Ba Wafa
Daure Sab Ahle Bayt Khule Sar, Barahna Pa
Hazrat Ne Haath Utha Ke Ye Ik Eik Se Kaha
Lo Alwida Ay Haram E Paak E Mustafa
Subhe Shab E Firaaq Hai Pyaaron Ko Dekh Lo
Sab Mil Ki Doobte Huwe Taaron Ko Dekh Lo
Shay Ke Qadam Pe Zainab E Zaar O Hazeen Giri
Bano Pachaad Kha Ke Pisar Ke Kareen Giri
Kulsoom Thar Thara Ke Baruhe Zameen Giri
Baqir Kahin Gira Tou Sakina Kaheen Giri
Ujda Chaman Har Ek Gul Taza Nikal Gaya
Nikla Alam Ke Ghar Se Janaza Nikal Gaya
Nagaah Udhar Se Teer Chale Janibe Imaam
Ghoda Bada Ke Aap Ne Hujjat Bhi Ki Tamaam
Nikle Idhar Se Shay Ke Rafiqaan E Tashnakaam
Be Sar Huwe Paroon Mein Saraan E Sipaah E Shaam
Bala Kabhi Thi Taegh Kabhi Zer E Tang Thi
Ek Ek Ki Jang Maalik E Ashtar Ki Jang Thi
Allah Re Ali Ke Nawasoon Ki Kaarzaar
Dono Ke Nichey Thay Ke Chalti Thi Zulfiqaar
Shana Kata Kisi Ne Jo Roka Sipar Pe Waar
Ginti Thi Zakhmiyoon Ki Na Kishtoon Ka Tha Shumaar
Utney Sawaar Qatl Kiye Thodi Daer Mein
Dono Ke Ghodey Chup Gaye Laasho Ke Dhaer Mein
Kis Husn Se Hasan Ka Jawane Haseen Lada
Ghir Ghir Ke Surate Asad E Khushmgeen Lada
Do Din Ki Bhook Pyaas Mein Wo Mahjabeen Lada
Sahra Ulat Ke Yoon Koi Dulha Nahi Lada
Hamle Dikha Diye Asad E Kirdgaar Ke
Maqtal Mein Sooye Arzak E Shaami Ko Maar Ke
Chamki Jo Taegh Hazrate Abbas E Arsh Jaah
Roohul Ameen Pukarey Ke Allah Ki Panaah
Dhaloon Mein Chup Gaya Pisar E Saad Ru Siyaah
Kushtoon Se Band Ho Gayi Aman O Amaan Ki Raah
Jhapta Jo Sher Shoakh Mein Darya Ki Saer Ke
Le Li Tarayi Taeghon Ki Moujoon Ko Phaer Ke
Be Sar Huwe Muwakkil E Sar Chashma E Furaat
Hal Chal Mein Misl E Mouj Safoon Ko Na Tha Sabaat
Darya Mein Girke Fout Huwe Kitne Bad Sifaat
Goya Habaab Hogaye Thay Nuqta E Hayaat
Abbas Bhar Ke Mashk Ko Yoon Tashnalab Laday
Jis Tarah Naharwaan Mein Ameer E Arab Laday
Aafat Thi Harb O Zarb E Ali Akbar E Diler
Ghusse Mein Jhapte Ser Pe Jaise Garsina Sher
Sab Sar Buland Past Zabardast Sab Thay Zer
Jangal Mein Chaar Simpt Huwe Zakhmiyoon Ke Dher
Siraan Ke Utre Tan Se Jo Thay Rann Chadhey Huwe
Abbas Se Bhi Jang Mein Kuch Thay Badhey Huwe
Talwaarein Barsi Subh Se Nusfun Nihaar Tak
Hilti Rahi Zameen Laraztey Rahey Falak
Kaampa Kiye Paroon Ko Simte Huwe Malak
Na’rey Na Phir Wo Thay Na Wo Taeghon Ki Thi Chamak
Dhaalon Ka Daur Barchiyoon Ka Auj Ho Gaya
Hangaam E Zuhr Khatema E Fauj Ho Gaya
Lashe Sabho Ke Sibte Nabi Khud Uthake Laye
Qatil Kisi Shaheed Ka Sar Kaatne Na Paye
Dushman Ko Bhi Na Dost Ki Furqat Khuda Dikhaye
Farmatey Thay Bichad Gaye Sab Hum Se Hai Haye
Itney Pahaad Gir Padey Jis Par Wo Kham Na Ho
Gar Sou Baras Jiyoon Tou Ye Majma Baham Na Ho
Kham Hogaye Ye Daagh Uthake Imame Deen
Jhuk Kar Bana Hilaal E Nabi Ka Mahe Jabeen
Yoon Dard Mein Tadap Ke Kiya Nalaye Hazeen
Hilne Lage Pahaad Larazne Lagi Zameen
Aayi Jigar Ko Taab Na Is Waaredaat Ki
Khushki Mein Lagi Doobne Kashti Hayaat Ki
Jab Saff Kashi Ki Dhoom Huwi Qatl Gaah Mein
Tasweer E Marg Phir Gayi Sab Ki Nigaah Mein
Doobe Rafiq E Yusuf E Deen Haq Ki Chaah Mein
Daftar Khula Ajal Ka Hussaini Sipaah Mein
Jaanbaaziyaan Dikhake Jari Naam Kar Gaye
Khaake Shifa Pa Noor Ke Daane Bikhar Gaye
Jis Waqt Aamad Aamade Saif E Khuda Huwi
Hal Chal Padi Har Ek Ke Dar Pe Qaza Huwi
Nabood Zindagi Huwi Hasti Fana Huwi
Himmat Dilon Ke Jism Se Quwwat Juda Huwi
Labrez Hokey Umr Ke Saaghar Chhalak Gaye
Kaampi Zameen Pahaad Jagah Se Sarak Gaye
Maidaan Mein Jab Riyaaze Hussaini Khizaan Huwa
Dunya Se Kaarwaan Shahe Deen Ka Rawaan Huwa
Darya E Khoon Mein Gharq Har Ek Naujawaan Huwa
Hamshakle Mustafa Bhi Shaheedey Sinaan Huwa
Rotey Thay Shaah Lasho Mein Tanha Khade Huwe
Thay Khaak Par Kaleje Ke Tukde Padey Huwe
Garmi Ka Roz Jang Ki Kyon Kar Karoon Bayaan
Darr Hai Ke Misl E Shama Na Jalne Lage Zabaan
Wo Loo Ke Al Hazar Wo Hararath Ke Al Amaan
Rann Ki Zameen Tou Surkh Thi Aur Zard Aasmaan
Aab E Khunukh Ko Khalq Tarasti Thi Khaak Par
Goya Hawa Se Aag Barasti Thi Khaak Par
Wo Loo Wo Aaftaab Ki Hiddat Wo Taab O Tab
Kala Tha Rang Dhoop Se Din Ka Misaal E Shab
Khud Nahr E Alqama Ke Bhi Sukhey Huwe Thay Lab
Khaime Jo Thay Hibaabon Ke Tap Te Thay Sab Ke Sab
Udhti Thi Khaak Khushk Tha Chashma Hayaat Ka
Khoula Huwa Tha Dhoop Se Pani Furaat Ka
Jheelon Se Chaar Paaye Na Uthte Thay Taaba Shaam
Maskan Mein Machliyoon Ke Samandar Ka Tha Maqaam
Aahu Jo Kahile Thay Tou Cheetey Siyaah Faam
Patthar Bhi Sab Pigal Gaye Thay Misl E Moum Khaam
Surkhi Udhi Thi Phoolon Se Sabzi Gayaah Se
Pani Kuwein Mein Utra Tha Saaye Ki Chaah Se
Koson Kisi Shajar Mein Na Gul Thhe Na Barg O Baar
Ek Ek Nakhal Jal Rahaa Thaa Suurat E Chinaar
Hanstaa Thaa Koi Gul Na Lahakataa Thaa Sabzaraar
Kaantaa Hui Thi Suukh Ke Har Shaakh E Baar Daar
Garmi Ye Thi Ki Zeest Se Dil Sab Ke Sard Thhe
Patte Bhi Masle E Cheharaa E Madquuq Zard Thhe
Girdaab Par Thaa Shola E Javaalaa Kaa Gumaan
Angaare Thhe Habaab To Paani Sharar Fishaan
Muunh Se Nikal Parhi Thi Har Ek Mauj Ki Zabaan
Tah Par Thhe Sab Nihang Magar Thi Labon Pe Jaan
Paani Tha Aag Garmi E Roz Hisaab Thi
Maahi Jo Seekh E Mauj Tak Aayi Kabaab Thi
Aainaa E Falak Ko Na Thi Taab O Tab Ki Taab
Chhipane Ko Barq Chaahati Thi Daaman E Sahaab
Sab Ke Sivaa Thaa Garm Mizaajon Ko Iztiraab
Kaafuur E Subah Dhuundhtaa Phirtaa Thaa Aaftaab
Bhadaki Thi Aag Gumbad E Charkh E Asiir Mein
Baadal Chhipe Thhe Sab Kurrah E Zamharir Mein
Sher Uthte Thay Na Dhoop Ke Maarey Kachaad Se
Aahu Na Munh Nikaalte Thay Sabz Zaar Se
Aaina Mahr Ka Tha Mukaddar Ghubaar Se
Gardoon Ko Tapp Chadi Thi Zameen Ke Bukhaar Se
Garmi Se Muztarib Tha Zamana Zameen Par
Bhun Jata Tha Jo Girta Tha Dana Zameen Par
Aabe Rawaan Se Munh Na Uthate Thay Jaanwar
Jangal Mein Cheetey Phirtey Thay Ta’ir Idhar Udhar
Mardam Thay Saath Pardon Ke Andar Araq Mein Tar
Jis Khana E Mizaa Se Nikalti Na Thi Nazar
Gar Chashm Se Nikal Ke Tahar Jaaye Raah Mein
Parh Jaaye Laakh Aabley Paaye Nigaah Mein
Is Dhoop Mein Khade Thay Akayle Shahe Umam
Na Daaman E Rasool Tha Na Saaya E Alam
Oudi Thi Lab Zabaan Mein Kaante Kamar Mein Kham
Sholay Jigar Se Aah Ke Uthti Thi Dam Badam
Be Aab Teesra Tha Jo Din Mehmaan Ko
Hoti Thi Baat Baat Mein Miknat Zabaan Ko
Kahta Tha Ibne Saad Ke Ay Aasmaan Janaab
Bayyat Jo Keejiye Ab Bhi Tou Haazir Hai Jaame Aab
Farmatey Thay Hussain Ke Ay Khanuma Kharaab
Darya Ko Khaak Jaanta Hai Ibne Bu Turaab
Faasiq Hai Paas Kuch Tujhe Islaam Ka Nahi
Aab E Taba Ho Ye Tou Mere Kaam Ka Nahi
Garjum Ka Naam Loon Tou Abhi Jaam Leke Aaye
Kausar Yaheen Rasool Ka Ehkaam Leke Aaye
Roohul Ameen Zameen Pa Mera Naam Leke Aaye
Lashkar Malak Ka Fatah Ka Paighaam Leke Aaye
Chahoon Jo Inqilaab Tou Dunya Tamaam Ho
Ulte Zameen Yoon Ke Na Koofa Na Shaam Ho
Farmake Ye Nigaah Jo Ki Suwwe Zulfiqaar
Tharrake Pichley Paaon Hata Wo Sitam Shi’aar
Mazloom Par Safoon Se Chaley Teer Beshumaar
Awaaz E Kous Harb Huwi Aasmaan Ke Paar
Naize Uthake Jang Par Aswaar Tul Gaye
Kaaley Nishaan Sipaah E Saeron Mein Khul Gaye
Jab Rann Mein Taegh Toul Ke Sultaan E Deen Badhey
Geethi Ke Thaam Lene Ko Roohul Ameen Badhey
Manind Sher E Haq Kahin Tahre Kahin Badhey
Goya Ali Ulat Te Huwe Aasteen Badhey
Jalwa Diya Jari Ne Uroose Musaaf Ko
Mushkil Kusha Ki Taegh Ne Chorda Ghilaaf Ko
Allah Re Taezi O Barsh Is Shola Rang Ki
Chamki Sawaar Par Tou Khabar Laayi Tang Ki
Pyasi Faqat Lahu Ki Talabgaar Jang Ki
Hajat Usey Na Saan Ki Thi Aur Na Sang Ki
Khoon Se Falak Ko Laashon Se Maqtal Ko Bharti Thi
Sou Baar Dam Mein Charkh Pe Chadhti Utarti Thi
Seene Pe Chal Gayi Tou Kaleja Lahu Huwa
Goya Jigar Mein Maut Ka Nakhan Faru Huwa
Chamki Tou Al Amaan Ka Ghul Chaar Su Huwa
Jo Iske Munh Pa Aagaya Be Aabru Huwa
Rukta Tha Ek Waar Na Das Se Na Paanch Se
Chehre Siyaah Hogaye Thay Is Ki Aanch Se
Bichh Bichh Gayeen Safon Pe Safein Wo Jahaan Chali
Chamki Tou Is Taraf Idhar Aayi Wahaan Chali
Dono Taraf Ki Fouj Pukari Kahaan Chali
Is Ne Kaha Idhar Wo Pukara Yahaan Chali
Munh Kis Taraf Hai Taegh Zanon Ko Khabar Na Thi
Sar Gir Rahe Thay Aur Tanon Ko Khabar Na Thi
Allah Re Khauf Taegh E Shahe Kainaat Ka
Zehr Ah Tha Aab Khauf Ke Maarey Furaat Ka
Darya Mein Haal Ye Tha Har Ek Bad Sifaat Ka
Chara Faraar Ka Tha Na Yaara Sabaat Ka
Ghul Tha Ke Barq Girti Hai Har Dar’a Posh Par
Bhago Khuda Ke Kahr Ka Darya Hai Josh Par
Har Chand Machliyaan Thi Zira Posh Sar Basar
Munh Kholey Chipti Phirti Thi Lekin Idhar Udhar
Bhagi Thi Mauj Chordh Ke Girdaab Ki Sipar
Thay Tah Nasheen Nahang Ubhartey Na Thay Magar
Darya Na Tham Ta Khauf Se Is Barq O Taab Ke
Lekin Padey Thay Paaon Mein Chhaley Hubaab Ke
Phir Tou Ye Ghul Huwa Ke Duhayi Hussain Ki
Allah Ka Ghazab Hai Ladayi Hussain Ki
Darya Hussain Ka Hai Tarayi Hussain Ki
Dunya Hussain Ki Hai Khudayi Hussain Ki
Beda Bachaya Aap Ne Toofan Se Nooh Ka
Ab Rahm Waasta Ali Akbar Ki Rooh Ka
Akbar Ka Naam Sunke Jigar Par Lagi Sinaa
Aansoo Bhar Aaye Rok Li Rahwaar Ki ‘Inaa
Mudh Kar Pukarey Laashe Pisar Ko Shahe Zamaa
Tum Ne Na Dekhi Jang Meri Ay Pidar Ki Jaa
Qasmein Tumhari Rooh Ki Ye Log Dete Hain
Lo Ab Tou Zulfiqaar Ko Hum Rok Dete Hain
Aayi Nidaye Ghaib Ke Shabbeer Marhaba
Is Haath Ke Liye Thi Ye Shamsheer Marhaba
Ye Aabru Ye Jang Ye Tauqeer Marhaba
Dikhlaadi Maa Ke Doodh Ki Taaseer Marhaba
Ghalib Kiya Khuda Ne Tujhe Kainaat Par
Bas Khatima Jihaad Ka Hai Teri Zaat Par
Bas Ab Na Kar Wigha Ki Hawas Ay Hussain Bas
Dam Le Hawa Mein Chand Nafas Ay Hussain Bas
Garmi Se Haampta Hai Faras Ay Hussain Bas
Waqte Namaz E Asr Hai Bas Ay Hussain Bas
Pyasa Lada Nahi Koi Yoon Isdehaam Mein
Ab Ehtemaam Chahiye Ummat Ke Kaam Mein
Labbaik Kahke Taegh Rakhi Shay Ne Miyaan Mein
Palti Sipaah Aayi Qayamat Jahaan Mein
Phir Sarkasho Ne Teer Milaye Kamaan Mein
Phir Khul Gaye Lipat Ke Pharere Nishaan Mein
Bekas Hussain Zulm Shi’aroon Mein Ghir Gaye
Moula Tumharey Laakh Sawaroon Mein Ghir Gaye
Seene Pe Saamne Se Chaley Das Hazaar Teer
Chhaathi Pe Lag Gaye Kayi Sou Ek Baar Teer
Pahlu Ke Paar Barchiyaan Seene Ke Paar Teer
Padhtey Thay Das Jo Khainchte Thay Tan Se Chaar Teer
Yoon Thay Khudang Zille Ilahi Ke Jism Par
Jis Tarha Khaar Hoti Hai Sahi Ke Jism Par
Chaltey Thay Chaar Simpt Se Bhaley Hussain Par
Toote Huwe Thay Barchiyoon Waley Hussain Par
Qatil Thay Khanjaroon Ko Nikaley Hussain Par
Ye Dukh Nabi Ki Godh Ke Paley Hussain Par
Teer E Sitam Nikaalne Wala Koi Nahin
Girtey Thay Aur Sambhaalne Wala Koi Nahin
Zakhmo Se Chur Chur Huwa Fatima Ka Laal
Sarde Riyaaz Ahmad O Hyder Huwa Nidhaal
Chehre Pa Khoon Mal Ke Basad Hasrat O Malaal
Ki Arz Shay Ne Shukr Hai Ay Rabb E Zuljalaal
Bachpan Se Roz O Shab Thi Yahi Aarzu Mujhe
Ya Rabb Tere Karam Ne Kiya Surkhuru Mujhe
Is Haal Se Jo Saif Ki Shiddat Huwi Siwa
Sadma Huwa Juda Ta’ab Tashnagi Juda
Aashista Rahwaar Se Hazrat Ne Ye Kaha
Ab Waqt Hai Wida Ka Ay Asb E Ba Wafa
Jangal Mein Ghar Batool Ka Lut Ta Hai Zuljanaah
Ab Saath Ek Umr Ka Chut Ta Ha Zuljanaah
Ay Khush Kharaam Ab Na Bachega Tera Sawaar
Ab Ye Gulu E Khushk Hai Aur Taegh E Aabdaar
Ab Laash Par Ghareeb Ke Daudeinge Rahwaar
Pamaal Hoga Ab Shahe Mardoon Ka Gul’ezaar
Baithega Seena E Pisar E Bu Turaab Par
Qatil Dharega Paaon Khuda Ki Kitaab Par
Zalim Mere Galey Pa Jo Khanjar Phiraega
Tujh Se Ye Haal Qahr Ka Dekha Na Jaaega
Naala Haram Ka Hashr Zamane Mein Laaega
Farte Gham O Alam Se Jigar Thar Tharaega
Ab Hoga Saamna Qalaq O Izteraar Ka
Naize Pe Sar Chadhega Tere Shahsawaar Ka
Laakhon Mein Ek Bekas O Dilgeer Hai Hai
Farzand E Fatima Ki Ye Tauqeer Hai Hai
Bhaaley Wo Aur Pahlu E Shabbeer Hai Hai
Wo Zahr Mein Bhujaye Huwe Teer Hai Hai
Ghussey Mein Thay Jo Fauj Ke Sarkash Bharey Huwe
Khali Kiye Hussain Pe Tarkash Bharey Huwe
Wo Gard Thi Jo Bhaagtey Phirtey Thay Waqt E Jang
Ek Sangdil Ne Paas Se Mara Jabeen Pa Sang
Sadme Se Zard Hogaya Sibt E Nabi Ka Rang
Mathey Pa Haath Tha Ke Galey Par Laga Khudang
Thama Gala Janaab Ne Mathey Ko Chordh Ke
Nikla Woh Teer Halq E Mubarak Ko Todh Ke
Likha Hai Teen Bhaal Ka Tha Naawake Sitam
Munh Khul Gaya Ulat Gayi Gardan Ruka Jo Dam
Khainchi Sari Galey Ki Taraf Se Ba Chashme Nam
Bhalein Nikaley Pusht Ki Jaanib Se Hokey Kham
Ubla Jo Khoon Nikalta Huwa Dam Tahar Gaya
Chullu Rakha Jo Zakhm Ke Nichey Tou Bhar Gaya
Girtey Hain Ab Hussain Faras Par Se Hai Ghazab
Nikli Rikaab Paaye Mutahhar Se Hai Ghazab
Pahlu Shigaafta Huwa Khanjar Se Hai Ghazab
Ghash Mein Jhukey Amama Gira Sar Se Hai Ghazab
Qura’an Rahle Zeen Se Sar E Farsh Gir Padha
Dewaar E Ka’ba Baith Gayi Arsh Gir Padha
Gir Kar Kabhi Uthey Kabhi Rakha Zamee Pa Sar
Ugla Kabhi Lahu Tou Sambhala Kabhi Jigar
Hasrat Se Ki Khayaam Ki Janib Kabhi Nazar
Karwat Kabhi Tadap Ke Idhar Li Kabhi Udhar
Uth Baithey Jab Tou Zakhm Se Barchi Ke Phal Girey
Teer Aur Tan Mein Gadd Gaye Jab Munh Ke Bhal Girey
Jangal Mein Aayi Fatima Zahra Ki Ye Sada
Ummat Ne Mujhko Loot Liya Wa Mohammada
Is Waqt Kon Haqq E Mohabbat Karey Ada
Hai Hai Ye Zulm Aur Dou Aalam Ka Muqtara
Unnees Sou Hai Zakhm Taney Chaak Chaak Par
Zainab Nikal Hussain Tadapta Hai Khaak Par
Zahra Idhar Tadap Ke Giri Aur Haram Udhar
Qatil Ne Taegh Phaer Di Sayyad Ke Halq Par
Haatif Ne Aasmaan Se Sada Di Pukaar Kar
Faryaad Kat Gaya Pisar E Fatima Ka Sar
Be Jaan Lab E Furaat E Shahe Tashna Lab Huwa
Mara Gaya Imame Zamaan Tou Ghazab Huwa
Dekha Jo Ahlebait E Nabi Ne Utha Ke Sar
Naizey Pe Aaftaab E Imamat Pada Nazar
Daude Saroon Pa Khaak Udhatey Ba Chashme Tar
Dekha Ye Haal Jab Sarey Baleen Huwa Guzar
Taza Lahu Rawaan Hai Taney Paash Paash Se
Takbeer Ki Sada Chali Aati Hai Laash Se
Pardah Ulat Ke Binte Ali Nikli Ba Chashm E Tar
Larzaan Qadam Khameeda Kamar Gharke Khoon Jigar
Charoon Taraf Pukaarti Thi Sar Ko Peet Kar
Ay Karbala Bata Tera Mehmaan Hai Kidhar
Amma Qadam Ab Uthte Nahi Tashnakaam Ke
Pahuncha Dou Laash Par Mere Bazu Ko Thaam Ke
Bhayya Mein Ab Kahan Se Tumhein Laaon Kya Karoon
Kya Kahke Apne Dil Ko Mein Samjhaaon Kya Karoon
Kiski Duhayi Doon Kisey Chillaaon Kya Karoon
Basti Parayi Hai Mein Kidhar Jaaon Kya Karoon
Dunya Tamaam Ujad Gayi Veerana Ho Gaya
Baithoon Kahan Ke Ghar Tou Azakhana Ho Gaya
Hai Hai Tumharey Aagey Na Khwahar Guzar Gayi
Bhayya Batao Kya Tahey Khanjar Guzar Gayi
Aayi Sada Na Pooch Jo Hum Par Guzar Gayi
Sad Shukr Jo Guzar Gayi Behtar Guzar Gayi
Sar Kat Gaya Hamey Tou Alam Se Firaagh Hai
Gar Hai Tou Bas Tumhari Judayi Ka Daagh Hai
Haan Aashiqon Hussain Ke Aah O Buka Karo
Zahra Ka Saath Do Madad E Mustafa Karo
Haqq E Mohabbat E Shahe Wala Ada Karo
Be Sar Huwe Hussain Qayamat Bapa Karo
Samjho Shareek E Majlis E Matam Rasool Ko
Sab Milke Dou Hussain Ka Pursa Batool Ko
Bas Ay Anees Za’uf Se Larzaan Hai Band Band
Aalam Mein Yaadgaar Raheinge Ye Chand Band
Tapke Qalam Se Za’uf Mein Kya Kya Buland Band
Aalam Pasand Lafzein Hain Sultaan Pasand Band
Ye Fasl Aur Ye Bazm E Aza Yaadgaar Hai
Peeri Ke Walwale Hain Khiza Ki Bahaar Ha