Add Poetry

Karta Usey Be'Qaraar Kuch Der

Poet: Nasir Kazmi By: junaid Ellahi, multan

Karta Usey Be'Qaraar Kuch Der
Hota Agar Ikhtiyar Kuch Der

Kya Royen Faraib-e-Aasamaan Ko
Apna Nahi Aitbaar Kuch Der

Aankhon Men Kati Pahaar Si Raat
So Ja Dil-e-Be'Qaraar Kuch Der

Ay Shaher-e-Tarab Ko Jane Walo
Karna Mira Intezaar Kuch Der

Be Kaifi Roz-o-Shab Musalsal
Sar Masti-e-Intezaar Kuch Der

Takleef-e-Gham-e-Firaaq Daaim
Taqreeb-e-Visaal-e-Yaar Kuch Der

Ye Ghuncha-o-Gul Hain Sub Musaafir
Hai Qaafila-e-Bahaar Kuch Der

Duniya To Sada Rahe Gi 'Nasir
Hum Log Hain Yaadgaar Kuch Der

Rate it:
Views: 2769
30 Jan, 2013
More Nasir Kazmi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets