✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Khwaja Mir Dard
Search
Add Poetry
Kash Us Ke Ru-Ba-Ru Na Krein Muj Ko Hashar Mein
Poet:
Khwaja Mir Dard
By:
Mohsin
,
Islamabad
Kash Us Ke Ru-Ba-Ru Na Krein Muj Ko Hashar Mein
Kitne Mere Sawal Hain Jin Ka Nahi Jawab
Facebook
WhatsApp
Twitter
Rate it:
Views:
976
Print
22 Dec, 2020
< PREV
View More
NEXT >
Related Tags on Khwaja Mir Dard Poetry
Khwaja Mir Dard Ghazal
Khwaja Mir Dard Nazm
Khwaja Mir Dard Poetry in Hindi
Load More Tags
More Khwaja Mir Dard Poetry
Milaun Kis Ki Aankhon Se Main Apni Chashm-E-Hairan Ko
Milaun kis ki ankhon se main apni chashm-e-hairan ko
ayaan jab har jagah dekhun usi ke naz-e-pinhan ko
tujhe ai shama kya dekhen zamane ko dikhana hai
hamen juun kaghaz-e-atish-zada aur hi charaghan ko
na tanha kuchh yahi atfal dushman hain divanon ke
bhare hai koh bhi dekha to yaan pattharon se daman ko
jhamakte hain sitaron ki tarah surakh hasti ke
chhupaya go ki juun khurshid men dagh-e-numayan ko
na vajib hi kaha jaave na sadiq mumtana us par
kiya tashkhis kuchh ham ne na hargiz shakhs-e-imkan ko
Umer
Copy
Sina-O-dil Hasraton Se Chha Gaya
Sina-O-dil hasraton se chha gaya
bas hujum-e-yas ji ghabra gaya
tujh se kuchh dekha na ham ne juz jafa
par vo kya kuchh hai ki ji ko bha gaya
khul nahin sakti hain ab ankhen miri
ji men ye kis ka tasavvur aa gaya
main to kuchh zahir na ki thi ji ki baat
par miri nazron ke dhab se pa gaya
pi gai kitnon ka lohu teri yaad
gham tira kitne kaleje kha gaya
mit gai thi us ke ji se to jhichak
‘dard’ kuchh kuchh bak ke tu chaunka gaya
Amir
Copy
Chaman Mein Subh Ye Kehti Thi Ho Kar Chashm-E-Tar Shabnam
Chaman Mein Subh Ye Kehti Thi Ho Kar Chashm-E-Tar Shabnam
bahar-e-bagh go yuun hi rahi lekin kidhar shabnam
araq ki buund us ki zulf se rukhsar par tapki
taajjub ki hai jagah ye padi khurshid par shabnam
hamen to baagh tujh bin khana-e-matam nazar aaya
idhar gul phadte the jaib roti thi udhar shabnam
kare hai kuchh se kuchh tasir-e-sohbat saaf tabaon ki
hui atish se gul ki baithte rashk-e-sharar shabnam
bhala tuk subh hone do ise bhi dekh levenge
kisi ashiq ke rone se nahin rakhti khabar shabnam
nahin asbab kuchh lazim subuksaron ke uthne ko
gai ud dekhte apne baghair-az-bal-o-par shabnam
na paaya jo gaya is baagh se hargiz suragh us ka
na palti phir saba idhar na phir aai nazar shabnam
na samjha ‘dard’ ham ne bhed yaan ki shadi o gham ka
sahar khandan hai kyuun roti hai kis ko yaad kar shabnam
Shahid
Copy
Un Ne Kiya Tha Yaad Mujhe Bhul Kar Kahin
Un Ne Kiya Tha Yaad Mujhe Bhul Kar Kahin
paata nahin huun tab se main apni khabar kahin
aa jaae aise jiine se apna to ji ba-tang
jiita rahega kab talak ai khizr mar kahin
phirti rahi tadapti hi aalam men ja-ba-ja
dekha na meri aah ne ru-e-asar kahin
muddat talak jahan men hanste phira kiye
ji men hai khuub roiye ab baith kar kahin
yuun to nazar pade hain dil-afgar aur bhi
dil riish koi aap sa dekha na par kahin
zalim jafa jo chahe so kar mujh pe tu vale
pachhtave phir to aap hi aisa na kar kahin
phirte to ho banae saj apni jidhar tidhar
lag jaave dekhiyo na kasu ki nazar kahin
puchha main dard se ki bata tu sahi mujhe
ai khanuman-kharab hai tere bhi ghar kahin
kahne laga makan-e-muayyan faqir ko
lazim hai kya ki ek hi jagah ho har kahin
darvesh har kuja ki shab aamad sara-e-ust
tu ne suna nahin hai ye misraa magar kahin
Rafay
Copy
Mujhko Tujhse Jo Kuch Mohabbat Hai
Mujhko Tujhse Jo Kuch Mohabbat Hai
ye mohabbat nahin hai aafat hai
log kahte hain ashiqi jis ko
main jo dekha badi musibat hai
band ahkam-e-aql men rahna
ye bhi ik naua ki himaqat hai
ek iman hai bisat apni
na ibadat na kuchh riyazat hai
aa phansun main buton ke daam men yuun
‘dard’ ye bhi khuda ki qudrat hai
Asif
Copy
Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale
Teri gali men main na chalun aur saba chale
yuun hi khuda jo chahe to bande ki kya chale
kis ki ye mauj-e-husn hui jalva-gar ki yuun
dariya men jo habab the ankhen chhupa chale
ham bhi jaras ki tarah to is qafile ke saath
naale jo kuchh bisat men the so suna chale
kah baithiyo na ‘dard’ ki ahl-e-vafa huun main
us bevafa ke aage jo zikr-e-vafa chale
Rizwan
Copy
More Khwaja Mir Dard Poetry
Popular Poetries
Download This Image
Download This Image
Download This Image
Download This Image
Download This Image
Download This Image
Load More Images
View More Poetries
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets