Add Poetry

Kehna Ghalat Ghalat Lyrics

Poet: Nusrat Fateh Ali Khan By: Adnan, Rawalpindi

Tanhai Mein Faryaad To Kar Sakta Hoon
Veranay Ko Aabad To Kar Sakta Hoon
Jab Chahoon Tumhein Mil Nahi Sakta Laikin
Jab Chahoon Tumhein Yaad To Kar Sakta Hoon

Aaa... Koi Hanse To Tujhe Gham Lage Hansi Na Lage
K Dillagi Bhi Tere Dil Ko Dillagi Na Lage
Tu Roz Roya Kare Uth K Chaand Raaton Mein
Khuda Karay Tera Mere Baghair Ji Na Lage

Achi Surat Ko Sanwarne Ki Zaroorat Kia Hai
Sadgi Mein Bhi Qayamat Ki Ada Hoti Hai
Tum Jo Aa Jaate Ho Masjid Mein Adaa Karne Namaz
Tumko Maalom Hai Kitno Ki Qazaa Hoti Hai

Yeh Jo Deewane Se Do Chaar Nazar Aate Hain
In Mein Kuch Sahib-E-Asraar Nazar Aate Hain
Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jaate Hain
Warna Yeh Log To Be(z?)daar Nazar Aate Hain

Mere Daaman Mein To Kaanton Ke Siva Kuch Bhi Nahi
Aap Phoolon K Kharidaar Nazar Aate Hain
Hashr Mein Kaun Gawaahi Meri Daiga Sagar
Sub Tumhare Hi Tarafdaar Nazar Aate Hain

Qasid Payaam-E-Khat Ko Dena Bohot Na Tool
Bas Mukhtasir Yeh Kehna K Aankhein Taras Gayi Hain

Kehnaa Ghalat Ghalat To Chupaana Sahi Sahi
Qasid Kaha Jo Usne Bataana Sahi Sahi
Yeh Subhu Subhu Chehre Ki Rangat Uree Howi
Kal Raat Tum Kahaan Thay Batana Sahi Sahi

Yeh Subhu Subhu Chehre Ki Rangat Uree Howi
Kal Raat Tum Kahaan Thay Batana Sahi Sahi
Maine Poocha Ke Kal Shab Kahan Thay
Pehle Sharmaaye Phir Hans Ke Bolay

Baat Kyun Tum Aisi Poochte Ho
Jo Bataane Ke Qabil Nahi Hai
Yeh Uree Uree Si Rangat, Yeh Khule Khule Se Gesu
Teri Subah Keh Rahi Hai, Teri Shaam Ka Fasaana

Kal Raat Tum Kahaan Thay Batana Sahi Sahi
Kal Raat Tum Kahaan Thay Batana Sahi Sahi
Na Hum Samjhay Na Tum Aaye Kahin Se
Paseena Poochiye Apni Jabeen Se

Kal Raat Tum Kahaan Thay Batana Sahi Sahi
Kal Raat Tum Kahaan Thay Batana Sahi Sahi
Dil Lay K Mera Haath Mein Kehte Hain Mujh Say Woh
Kya Loge Iske Daam Bataana Sahi Sahi

Aankhein Milaao Ghair Se, Do Hum Ko Jaam-E-Mai
Saaqi Tumhein Qasam Hai Pilaana Sahi Sahi
Nasha Pila Kar Giraana To Sabko Aata Hai
Maza To Tab Hai Jab Girtoon Ko Thaam Le Saaqi

Aaa... Nasha Imaan Hota Hai, Suraahi Deen Hoti Hai
Jawaani Ki Ibadat Kis Qadar Rangeen Hoti Hai
Sharab-E-Naab Ko Do Aatisha Bana Kar Pila
Sharaab Kam Hai To Saaqi Nazar Mila Kar Pila

Sharaab Ka Koi Apna Sarih-E-Rang Nahin
Sharaab Tajzia-E-Ehtesaab Karti Hai
Jo Ahl-E-Dil Hain Barhaati Hai Aabroo Unki
Jo Be-Shaoor Hain Unko Kharaab Karti Hai

Saaqi Tumhein Qasam Hai Pilaana Sahi Sahi
Saaqi Tumhein Qasam Hai Pilaana Sahi Sahi
Ay Mai-Farosh Bheerh Hai Teri Dukaan Per
Gaahag Hain Hum Be, Maal Dikhaana Sahi Sahi

Sajid To Jaan-O-Dil Se Faqat Aapka Hai Bus
Kya Aap Bhi Hain Us Ke, Bataana Sahi Sahi
Kehnaa Ghalat Ghalat To Chupaana Sahi Sahi...

Rate it:
Views: 2508
20 Sep, 2021
Related Tags on Urdu Ghazals Poetry
Load More Tags
More Urdu Ghazals Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets