Khuda Hamara Hai
Poet: Habib Jalib By: Saad, KarachiKhuda Tumhara Nahi Hai Khuda Hamara Hai
Use Zamin Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai
Lahoo Piyoge Kahan Tak Hamara Dhanwano
Badhao Apni Dukan Seem-O Zar Ke Deewano
Nishan Kahin Na Rahega Tumhara Shaitano
Hamein Yaqeen Hai Ke Insaan Usko Pyara Hai
Khuda Tumhara Nahin Hai Khuda Hamara Hai
Use Zameen Pe Yeh Zulm Kab Gaawara Hai
Nai Shaoor Ki Hai Roshni Nigahon Mein
Ek Aag Si Bhi Hai Ab Apni Sard Aahon Mein
Khilenge Phool Nazar Ke Sahar Ki Bahon Mein
Dukhe Dilon Ko Isi Aas Ka Sahara Hai
Khuda Tumhara Nahin Hai Khuda Hamara Hai
Use Zameen Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai
Tilism-E Sayah-E Khauf-O Hiras Todenge
Qadam Bandhayenge Zanjeere-E Yaas Todenge
Kabhi Kisi Ke Na Ham Dil Ki Aas Todenge
Rahega Yaad Jo Ehd-E Sitam Guzara Hai
Use Zamin Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai
تخت پر بیٹھے ہیں یوں جیسے اترنا ہی نہیں
یوں مہ و انجم کی وادی میں اڑے پھرتے ہیں وہ
خاک کے ذروں پہ جیسے پاؤں دھرنا ہی نہیں
ان کا دعویٰ ہے کہ سورج بھی انہی کا ہے غلام
شب جو ہم پر آئی ہے اس کو گزرنا ہی نہیں
کیا علاج اس کا اگر ہو مدعا ان کا یہی
اہتمام رنگ و بو گلشن میں کرنا ہی نہیں
ظلم سے ہیں برسر پیکار آزادی پسند
ان پہاڑوں میں جہاں پر کوئی جھرنا ہی نہیں
دل بھی ان کے ہیں سیہ خوراک زنداں کی طرح
ان سے اپنا غم بیاں اب ہم کو کرنا ہی نہیں
انتہا کر لیں ستم کی لوگ ابھی ہیں خواب میں
جاگ اٹھے جب لوگ تو ان کو ٹھہرنا ہی نہیں
Ye Log Bhi Kia Log Hain, Mar Kion Nahi Jate
Hai Kon Zamane Mein Mera Poochne Wala??
Nadaan Hain Jo Kehte Hain Ke Ghar Kion Nahi Jate
Shouley Hain To Kion In Ko Bharakte Nahi Dekha??
Hain Khak To Rahon Mein, Bikhar Kion Nahi Jate
Aansu Bhi Hain Aankhon Mein, Dua’in Bhi Hain Lab Par,
Bigrey Hue Halaat, Sanwar Kion Nahi Jate
Mai Bi Mansoor Hoon Keh Do Aghayar Se
Kun Darate Ho Zindan Ki Deewar Se
Zulm Ki Baat Ku Jahl Ki Raat Ku
Main Nahi Manta Main Nahi Janta
Tum Ne Loota Hai Sadyon Hmara Sukoon
Ab Na Ham Par Chale Ga Tumhara Fasoon
Chara Gar Main Tumhain Kis Tarah Se Kahon
Main Nahi Manta Main Nahi Janta
Deep Jis Ka Mahlaat Main Hi Jale
Chand Logo Ki Khushiyon Ko Le Kar Chale
Wo Jo Saye Main Har Maslihat Ke Play
Aese Dastoor Ko Subah-e Be Noor Ku
Main Nahi Manta Main Nahi Janta






