Kyaa Aise Kam-Sukhan Se Koi Guftagoo Kare,
Jo Mustaqil Sukoot Se Dil Ko Lahoo Kare,
Ab Tau Hamen Bhi Tark-E-Maraasim Kaa Dukh Nahin,
Par Dil Ye Chaahtaa Hai Ke Aaghaaz Too Kare,
Tere Baghhair Bhi To Ghaneemat Hai Zindagii
Khud Ko Ganwaa Ke Kaun Teri Justujoo Kare,
Ab To Ye Aarzoo Hai Ke Wo Zakhm Khaaiye,
Taa-Zindagi Ye Dil Na Koi Aarzoo Kare,
Tujh Ko Bhula Ke Dil Hai Wo Sharminda-E-Nazar,
Ab Koi Hadsaa Hi Tere Ru-Ba-Roo Kare,
Chup Chaap Apni Aag Mein Jalte Raho “Faraz”,
Duniyaa To Gharz-E-Haal Se Be-Aabroo Kare