Add Poetry

Kia Chaal Chali Hey Siasatdaan

Poet: Purki By: M.hasan, Karachi

Mera Dais Hey Pakistan
Kia Chaal Chali Hey Siasatdaan

Baap,Beta,Dada Or Poota
Damaad,Chacha Or Mama

Maa,Beti,Pooti Or Nawasee
Hr Party Ka Apna Apna Khandan

Hr Mansab Apnoo Me Bantey
Jamhooriat Ka Naghma Gaye

Awam Ko Pakka Gulam Banaye
Apni Apni Bhainsein Charaye

Qom Ko Firqoo Mei Banta
Nasil, Or Alaqoo Me Banta

Mazhab Or Zatoo Me Banta
Taqseem Dr Taqseem Kia

Jitna Hosakey Taqseem Kia
Fir B Wahsheepun Na Toota

Dusrey Insanoo Se Nafrat Kr K
Shehr Ka Shehr Kala Kr K

Ek Dusrey Ka Jhanda Utaar Kr
Apna Apna Jhanda Laga Kr

Apney Workers Ko Ilmo Amal Ka Pekar Bana Kr
Kesa Inhoo Ney Jeena Sikha Kr

Makkari Ki Jaal Bicha Kr
Hr Chowk Pr Apni Dukan Laga Kr

Hr Ja Dastarkhwan Bicha Kr
Muft Khoree Ki Aadat Dal Kr

Insanoo Ko Kam Choor Bana Kr
Daku Choor Uchchakkey Bana Kr

Apna Maal Dobai Me Laga Kr
Oroo Ko Yahaa Dawat Dey Kr

Kia Loot Machaya Awam K Khadmoo Ney
Fir B Uff Tuk Nahi Kia In Mazlomoo Ney

Ab To Khudara Raah-E-Raast Pe Aajao
Nafrat Ki Siasat Se Baaz Aajao

Mera Dais Hey Pakistan
Khoob Chaal Chali He Siasatdaan
 

Rate it:
Views: 446
12 May, 2015
More Political Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets