Kisi Ka Yun Toh Hua Kaun Umar Bhar Phir Bhi
Ye Husn-O-Ishq Ka Dhokha Hai Sab Magar Phir Bhi
Hazaar Baar Zamana Idhar Se Guzra Hai
Nayi Nayi Si Hai Kuchh Teri Rahguzar Phir Bhi
Khusha Ishara-E-Paiham Zahe Sukoot-E-Nazar
Daraaz Ho Ke Fasaana Hai Mukhtsar Phir Bhi
Jhapak Rahi Hain Zamaan-O-Makaan Ki Bhi Aankhen
Magar Hai Qaafila Aamada-E-Safar Phir Bhi
Shab-E-Firaq Se Aage Hai Aaj Meri Nazar
Ki Kat Hi Jaayegi Ye Sham-E-Be-Sehar Phir Bhi
Palat Rahe Hain Gareeb-Ul-Watan Paltana Tha
Woh Koocha Roo-Kash-E-Jannat Ho Ghar Hai Ghar Phir Bhi
Kharaab Ho Ke Bhi Socha Kiye Tere Mehzoor
Yehi Ki Teri Nazar Hai Teri Nazar Phir Bhi
Lipat Gaya Tera Deewana Garche Manzil Se
Udi Udi Si Hai Kuchh Khaaq-E-Rahguzar Phir Bhi
Teri Nigaah Se Bachne Mein Umar Guzri Hai
Utar Gaya Rag-E-Jaan Mein Ye Nashtar Phir Bhi
Khata Muaaf Tera Afav Bhi Hai Misl-E-Saza
Teri Saza Mein Hai Ek Shaan-E-Darguzar Phir Bhi
Agarche Bekhudi-E-Ishq Ko Zamana Hua
Firaq’ Karti Rahi Kaam Woh Nazar Phir Bhi