Koi Anis Koi Aashna Nahin Rakhte
Kisi Ki Aas Baghair Az Khuda Nahin Rakhte
Faqir Dost Jo Ho Hum Ko Sarfaraaz Kare
Wo Yun Gae Ki Kahin Naqsh-E-Pa Nahin Rakhte
Jo Log Ulfat-E-Mushkil-Kusha Nahin Rakhte
Tap-E-Darun Gham-E-Furqat Waram-E-Payaada-Rawi
Anis Bech Ke Jaan Apni Hind Se Niklo
Khulega Haal Unhen Jab Ki Aankh Band Hui
Wo Kaun Hain Ki Jo Hirs-O-Hawa Nahin Rakhte
Musafiro Shab-E-Awwal Bahut Hai Tera O Tar
Jahan Ki Lazzat O Khwahish Se Hai Bashar Ka Khamir
Kisi Ko Kya Ho Dilon Ki Shikastagi Ki Khabar
Wo Log Kaun Se Hain Ai Khuda-E-Kaun-O-Makan
Charagh-E-Qabr Abhi Se Jala Nahin Rakhte
Jo Tosha-E-Safar-E-Karbala Nahin Rakhte
Maraz To Itne Hain Aur Kuchh Dawa Nahin Rakhte
Sukhan Se Kan Ko Jo Aashna Nahin Rakhte
Ki Tutne Men Ye Shishe Sada Nahin Rakhte
Musafiran-E-Adam Ka Pata Mile Kyunkar
Kuchh Aur Farsh Ba-Juz Boriya Nahin Rakhte