Kyun Asir-E-Gesu-E-Kham-Dar-E-Qatil Ho Gaya
Hae Kya Baithe-Bithae Tujhko Ai Dil Ho Gaya
Har Bagula Dasht Ka Laila-E-Mahmil Ho Gaya
Dil Ka Har Arman Fida-E-Dast-E-Qatil Ho Gaya
Usne Talwaren Lagain Aise Kuchh Andaz Se
Intizar Us Gul Ka Is Darja Kya Gulzar Men
Nur Aakhir Dida-E-Nargis Ka Zail Ho Gaya
Ye Bhi Qaid Ho Hi Gaya Aakhir Kamand-E-Zulf Ka
Uske Uthte Hi Digar-Gun Rang-E-Mahfil Ho Gaya
Le Asiron Men Tere Aazad Shamil Ho Gaya
Qais Majnun Ka Tasawwur Jab Badh Gaya Hai Najd Men
Koi Nalan Koi Giryan Koi Bismil Ho Gaya