Lab Sil Chukay Hay Phir Bhi Kuch Kahyna Chahtain Hay
Halat Zamanay K Kuch Aisay Hay K Ab Tabdeeli Daikhna Chahtain Hay
Barso Say Jo Nizaam Chala Aaraha Hay Takht-O-Taaj Par
Jaha Qatal-O-Gaarat Ho Jaati Hay Mamoli Se Takrar Par
Kia Nasiab Kia Faraz Yaha Zindagi Ka Kuch Pata Nahi
Kab Kaha Koi Bay Gunha Mara Jaaiay Kuch Pata Nahi
Aiy Ibn Adam Apnay Adnar Ek Nai Zaat Ki Tabeer Paida Kar
Nai Subha Nai Shaam Nai Raat Paida Kar
Farooqi Ek Naiay Soraj Ki Raah May Hay Baitab
Jab Haat May Ho Gi Talwar Or Nara Ho Ga Inqilab