Add Poetry

Labo Par Uske Kabhi Baddua Nahi Hoti

Poet: Munawwar Rana By: yaseen, khi

Labo Par Uske Kabhi Baddua Nahi Hoti
Bas Ek Maa Hai Jo Kabhi Khafa Nahi Hoti

Iss Tarah Mere Gunaahon Ko Wo Dho Deti Hai
Maa Bahut Gusse Mein Hoti Hai To Ro Deti Hai

Maine Rote Hue Ponche The Kisi Din Aansoo
Muddaton Maa Ne Nahi Dhoya Dupatta Apna

Abhi Zinda Hai Maa Meri Mujhe Kuch Bhi Nahi Hoga
Main Jab Ghar Se Nikalta Hoon Dua Bhi Saath Chalti Hai

Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Mein Aa Jaati Hai
Maa Dua Karti Hui Khwaab Mein Aa Jaati Hai

Aye Andhere Dekh Le Muh Tera Kaala Ho Gaya
Maa Ne Aankhein Khol Di Ghar Mein Ujaala Ho Gaya

Meri Khwaahish Hai Ki Main Phir Se Farishta Ho Jaun
Maa Se Is Tarah Liptun Ki Bachcha Ho Jaun

Maa Ke Aage Yun Kabhi Khulkar Nahi Rona
Jahan Buniyaad Ho Itni Nami Achhi Nahi Hoti

Lipat Jaata Hoon Maa Se Aur Mausi Muskurati Hai
Main Udru Mein Ghazal Kehta Hoon Hindi Muskrati Hai

Rate it:
Views: 1947
05 Sep, 2019
More Munawwar Rana Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets