Lagta Nahin Hai Dil Mira Ujde Dayar Men
Kis Ki Bani Hai Alam-E-Na-Pa.Edar Men
Kah Do In Hasraton Se Kahin Aur Ja Basen
Itni Jagah Kahan Hai Dil-E-Daġh-Dar Men
Kanton Ko Mat Nikal Chaman Se O Baġhban
Ye Bhi Gulon Ke Saath Pale Hain Bahar Men
Bulbul Ko Baġhban Se Na Sayyad Se Gila
Qismat Men Qaid Likkhi Thi Fasl-E-Bahar Men
Kitna Hai Bad-Nasib 'Zafar' Dafn Ke Liye
Do Gaz Zamin Bhi Na Mili Kū-E-Yar Men