Add Poetry

Lay K Aya Hai Khushiyon Ka Pegham Mah-E-Ramzan

Poet: Mrs.Haleemullah By: Mrs.Haleemullah, Ghakhar

Lay K Aya Hai Khushio Ka Pegham Mah-E-Ramzan
Lay K Aya Hai Dilo Ka Skoon Rooh Ka Chain Mah-E-Ramzan
Char Soo Rehmton Ki Barish Hai
Lay K Aya Hai Rehmaton Ka Inam Mah-E-Ramzan
Her Musliman Ka Dil Hai Khof-E-Khuda Se Mamoor
Lay K Aya Hai Magfrit Ka Pegham Mah-E-Ramzan
Bhar Lay Gay Jholia Mukdar Walay
Lay K Aya Hai Nemton Ka Khzana Mah-E—Ramzan
Dilo Se Nafrt Door Krne Seb Ko Muhabt Se Purnoor Krnay
Ley K Aya Hai Aman Ka Pegham Mah-E-Ramzan
Allah Ka Ker Shukr Aye Musliman
Teri Zindagi Main Aya Hai Mah-E-Ramzan
Mango Duae Sajday Mian Ja Ker
Lay K Aya Hai Bakhshish Ka Saman Mah-E-Ramzan
Band Dia Gia Hai Shetan
Buraio Se Pak Krnay Aya Mah-E-Ramzan
Her Ghar Hai Roshan Is K Noor Se
Lay K Hai Aya Noor Ki Barsat Mah-E-Ramzan
Jis Ne Na Parhi Namaz Poora Sal
Us Ko B Le K Aya Masjid Main Mah-E-Ramzan
Chand Hai Nikla Chandni Le Ker
Chand Se Bhi Bhar Kr Chandni Le K Hai Aya Mah-E-Ramzan
Roshan Hai Jabin Rozadar Ki
Allah Ka Piara Bnanay Aya Hai Mah-E-Ramzan
Giray Raho Sajday Main Kro Sad Shukr Ada
Allah Ne Dia Hai Mah-E-Ramzan

Rate it:
Views: 1760
22 Jul, 2012
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets