Add Poetry

Poetries by M.Hassan

Qoom ka Nooha Me Her Dum Noha Pherta Raha
Nojawanoo Ko Samjata Raha
Ilm Ki Shama Mei Jalata Raha
Magar Muj Se Door Bhagta Raha
Kutub Khana B Khoob Chalta Raha
Ilm Dushmanoo K Hathoo Ye Jata Raha
Kutub Khana Ki Jaga Murda Khana Banaker
Apni Nasloo Ko Zinda Dafan Ye Kerta Raha
Qoom Ki Is Sooch Ney Aaj Ye Din Dikhadee
Qom K Nonihaal Galyuoo Mei Bhatakta Raha
Us Waqt Qoom Tamasha Dekhta Raha
Gia Waqt To Yooo Hath Malta Raha
Mei Nashey Mei Quin Doobta Gia
Mei Haqeeqat Se Faraar Hota Raha
Mei Sigrette Se Heroin Peeney Laga
Din Ba Din Nashey Me Terqi Kerta Raha
Mei Naddee Kinarey Betha Raha
Raat Bher Soota Lagata Raha
Mei Raat Bher Ghar Se Gaib Raha
Mera Baap Mujko Doondta Raha
Meri Maa Feryaad Kerti Rahi
Magar Mera Dil Puththur Hota Raha
Meri Behnei'n Merey Hal Per Sisaktee Rahee
Magar Mera Dil Roz Baroz Sakht Hota Raha
Burey Lerkoo Ko Dost Banata Raha
Apney Ghar Per Dakatee Lagata Raha
Burey Suhbat Ki Lut Ne Muje Ye Din Dikha Dee
Me Apney Piaroo Sey Door Hota Raha
Meri Gerat Maloom Nahi Kahaa'n Mer Gayee
Mei Badbakhtoo Ki Saf Mei Aata Raha
Apni Behnoo K Pesey Churata Raha
Un K Aankhoo Ka Lahoo Me Peeta Raha
Gareeb Baap Ka Dil Dukhata Raha
Subho Sham Usko Rulata Raha
Jo Mehnat Se Pesey Kamata Raha
Usey Mei Apna Dushman Samajhta Raha
Jis K Dum Se Ghar Chalta Raha
Us Charagh-E-Saher Ko Bhujata Raha
Me Nadaa'n Tha Bohot Nasamaj Tha
Her Waqt Is Hastee Ko Koosta Raha
Jo Chahta Tha Mei Kutch Pherh Jawoo
Us Firishtey Ko Mei Ullu Banata Raha
Uski Batoo Ko Mei Ignore Kerta Raha
Pharayee Choor Ker Sarak Chapta Raha
School K Bajaye Idhar Udhar Chupta Raha
Class Mei Her Saal Fail Hota Raha
Qeematee Waqt U Hi Zaye Kerta Raha
Jawani Bekaar Kamoo Mei Khota Raha
Apni Mama Papa Ko Satata Raha
Apni Behnoo Ko Aansu Rulata Raha
Nashey Ki Lut Muj Ko Perta Raha
Waqt,Pesa Or Jawani Rulta Raha
Allah, Rasool Se Door Hota Raha
Quran Ki Tilawat Se B Ghafil Raha
Namazoo Se Bee Door Bhagta Raha
Subho Shaam Roza Bee Khata Raha
Azaab Ilahee Muj Pe Aata Raha
Apnoo Ki Nazroo Se B Girta Raha
Mei Insanoo Se Khud Ko Chupata Raha
Roz Baroz Zillat Muj Ko Milta Raha
Jesey Jesey Dunya Se Nafrat Bherta Raha
Din Ba Din Mera Nasha Bee Bherta Raha
Baar-E-Ilahee Tu Muj Per Karam Ker
Mei Uoo Hi Apnoo Se Lerta Jagrta Raha
Tu Raheem-O-Kareem Or Maghfoor Hey
Tu Gunahgaroo Ko Hamesha Bakhshta Raha
Mei Bee Tera Ek Siahkaar Hoo'n
Tu Gumrahoo Ko Raah Dikhata Raha
Hidayet De Perwerdigaar Muj Ko B
Mei Hidayat Sey Door Hota Raha
Dil Ki Aawaz Hey Logoo Zara Goor Se Sun
Merey Dil Se Aah Or Feryaad Nikalta Raha
Bachawo Apni Nasloo Ko Ye Kidher Ja Rahe Hein
Mei Akeley Hi Naqqar Khaney Mei Bolta Raha
Jamhooree Tamasha Ajab Hey Zamana
Ewanoo Mei Hewanoo Ka Raaj Chalta Raha
Masjidein Din Badin Bhertee Rahee'n
Hidayat Se Log Door Hota Raha
Masjid K Ander Sannata Bohot Hey
Baher Speaker Ka Shoor Hota Raha
Beemaroo Ka B Khayal Rakhta Nahi
Be-Hisee Pey Beemar Rota Raha
Sukoon Tha Zamaney Mei Jub Ye Bhompoo Na Tha
Ye Jub Aaya To Molvee Sahab B Garajta Raha
Jo Kal Tuk Isey Kufur Ka Aala Kehta Raha
Aaj Galey Me Daal Ker Basoo Mei Mangta Raha
Waqt K Sath Muftiyoo Ka Fatwa Badalta Raha
Jo Qul Per Palta Raha Aaj Dollar Mangta Raha
Ye Dunya He Yahaa'n Pul Pul Badalta Hey Insan
Jo Badalta Nahi Wo Puthur Ka Puththur Raha
Yahaa'n Koi Kisi Ka Dost Nahi Purki
Nafsa Nafsee Ne Ye Din Dikhata Raha
Jo Din Raat Husain Husain Kerta Raha
Wo Ilm Ker Nashey Mei Merta Raha
Qoom K Jo Kerta Dherta Hein Yahaa'n
Apney Dhandhoo Mei Inko Lagata Raha
Khud To Andhey Hein Ye Leader Loog
Qoom Ko B Andheroo Mei Fansaa Raha
Jo Qoom Andheroo Ka Aadee Ho Purki
Us Ko Andheroo Se Maza Aata Raha
Kon Jaga Sakta Hey Is Churser Qoom Ko
Hadee-E- Berhaq Ka Din Raat Intizar Kerta Raha
Khana Peena,Sona Jagna Jis Qoom Ka Maqsood Ho
Ilmo Hikmat K Charagoo Ko Apney Pawoo Taley Roondta Raha
Jis Qom Ka Leader Firoon-O- Namrood Jesey Hoo
Us Qoom Ka Roona U Hi Umr Bher Bekaar Jata Raha
 
M.hassan
Ewanoo Mei Hewanoo Ka Raaj Chalta Raha Mei Nashey Mei Doobta Raha
Mei Heroin Ko Tarasta Raha
Mei Naddee Kinarey Betha Raha
Raat Bher Soota Lagata Raha
Mei Raat Bher Ghar Se Gaib Raha
Meri Maa'n Mujko Doondhtee Rahi
Burey Lerkoo Ko Dost Banata Raha
Apney Ghar Per Dakatee Lagata Raha
Apni Behnoo K Pesey Churata Raha
Un K Aankhoo Ka Lahoo Me Peeta Raha
Gareeb Baap Ka Dil Dukhata Raha
Subho Sham Usko Rulata Raha
Jo Mehnat Se Pesey Kamata Raha
Usey Mei Apna Dushman Samajhta Raha
Jis K Dum Se Ghar Chalta Raha
Us Charagh-E-Saher Ko Bhujata Raha
Me Nadaa'n Tha Bohot Nasamaj Tha
Her Waqt Is Hastee Ko Rulata Raha
Jo Chahta Tha Mei Kutch Pherh Jawoo
Us Firishtey Ko Mei Ullu Banata Raha
Uski Batoo Ko Mei Ignore Kerta Raha
Pharayee Choor Ker Sarak Chapta Raha
School K Bajaye Idhar Udhar Chupta Raha
Class Mei Her Saal Fail Hota Raha
Qeematee Waqt U Hi Zaye Kerta Raha
Jawani Bekaar Kamoo Mei Khota Raha
Apni Mama Papa Ko Satata Raha
Apni Behnoo Ko Aansu Rulata Raha
Nashey Ki Lut Muj Ko Perta Raha
Waqt,Pesa Or Jawani Rulta Raha
Allah, Rasool Se Door Hota Raha
Quran Ki Tilawat Se B Ghafil Raha
Namazoo Se Bee Door Bhagta Raha
Subho Shaam Roza Bee Khata Raha
Azaab Ilahee Muj Pe Aata Raha
Apnoo Ki Nazroo Se B Girta Raha
Mei Insanoo Se Khud Ko Chupata Raha
Roz Baroz Zillat Muj Ko Milta Raha
Jesey Jesey Dunya Se Nafrat Bherta Raha
Din Ba Din Mera Nasha Bee Bherta Raha
Baar-E-Ilahee Tu Muj Per Karam Ker
Mei Uoo Hi Apnoo Se Lerta Jagrta Raha
Tu Raheem-O-Kareem Or Maghfoor Hey
Tu Gunahgaroo Ko Hamesha Bakhshta Raha
Mei Bee Tera Ek Siahkaar Hoo'n
Tu Gumrahoo Ko Raah Dikhata Raha
Hidayet De Perwerdigaar Muj Ko B
Mei Hidayat Sey Door Hota Raha
Dil Ki Aawaz Hey Logoo Zara Goor Se Sunoo
Merey Dil Se Aah Or Feryaad Nikalta Raha
Bachawo Apni Nasloo Ko Ye Kidher Ja Rahe Hein
Mei Akeley Hi Naqqar Khaney Mei Bolta Raha
Jamhooree Tamasha Ajab Hey Zamana
Ewanoo Mei Hewanoo Ka Raaj Chalta Raha
 
M.hassan
Mei Fir B Azaad Hoo Mei Azaad Hoo
Dekho Merey Tun Pe Kapra B Nahi
Merey Pait Met Roti B Nahi
Muje Pherney Ka Shooq Bohot Hey
Magar Meri Jaib Mei Ek Sikka B Nahi
Mei Fir B Azaad Hoo
Beemar Hoo Mei Kb Sey
Koi Poochta Hi Nahi Muj Sey
Maa'n Baap Mer Gaye Jb Sey
Footpath Pe Para Hoo Kb Sey
Mei Fir B Azaad Hoo
Mera Yahaa'n Koi Nahi Hey
Kia Ye Islami Falahi Mumlikat Hey
Janwaroo K B Haqooq Hotey Hein
Per Yahaa'n Insanoo Ka B Pursan-E-Haal Nahi Hey
Mei Fir B Azaad Hoo
68 Sal Meri Umr Hogayee Hey
Jo B Aata Hey Pakistan Ka Nara Lagata Hey
Or Apni Apni Jeibein Bher Bher K Jata Hey
Mery Nam Pe Khoob Khoob Shikar Khelta Hey
Apney Ahlo Iyaal Ko Dunya Ki Sair Karata Hey
Fooj Der Fooj Beroon-E- Mulk Jata Hey
Qoomi Khazaney Ko Khoob Choona Lagata Hey
Mei Fir B Azaad Hoo
Lamha Ba Lamha Mei Barbad Ho Raha Hoo'n
Din Ba Din Mei Reza Reza Ho Raha Hoo'n
Ku Ba Ku Lahoo Lahaa'n Ho Raha Hoo'n
Sal Ba Saal Be-Jan Ho Raha Hoo 'N
Bal Bal Qarzoo Mei Doob Raha Hoo'n
Mei Fir B Azaad Hoo
Merey Log Under Se Mer Rahe Hein
Sisak Sisak Kr Jee Rahe Hein
Koi In K Dukh Dard Ko Janta Nahi
Janey B To In Ka Koi Madawa Nahi
Koi In Pe Marham Rakhney Wala Nahi
Mei Fir B Azaad Hoo
Na Nalkoo Mei Pani Ki Rawani Hey
Na Taroo Mei Bijlee Ki Rawani Hey
Jaga Jaga Badbu Ki Farawani Hey
Maheeney K Aakhir Mei Biloo Ki Rawani Hey
Bill Bharaney K Ilawa In Ka Koi Kam Nahi Hey
Mei Fir B Azaad Hoo
Galee Galee Badmashoo Ka Raaj Hey
Bhatta Khooree Or Seena Zori Aam Hey
Koi Subah Ko Koi Sham Ko Lut-Ta Hey
Qanoon Ki Aankhein Andhee Hein
Sarey Forces In K Sathee Hein
Mei Fir B Azaad Hoo
Azadee Ka Jashan Mananey Waloo
Raat Bher Goolian Chalaney Waloo
Berqee Qamqamey Jalaney Waloo
Oonchey Jhandey Laganey Waloo
Halla Gulla Karney Waloo
Aas Pas Ka Sukoon Barbad Karne Waloo
Quran K Furman Ka Hi Kutch Lihaz Kerloo
Mei Fir B Azaad Hoo
Quran Ka Furman Hey Ek Ho Jaa
Ek Ho Kr Dushmanoo Ki Moot Ho Jaa
Dushman Kon Hey Ye To Samaj Jaa
Jo Hum Ko Taqseem Karey Us Ko Bhaga Jaa
Mei Fir B Azaad Hoo
 
M.hasan
Famous Poets
View More Poets