Jo Na Socha Tha Wahi Karke Dikhaya Tum Ne
Her Haqiqath Ko Kahani Hi Bataya Tum Ne
Chaar Din Kya Mila Gairon Ka Sahara Tujh Ko
Apne Maa Baap Ko Samjha Hai Paraya Tum Ne
Apne Hi Ghar Me Rahe Apno Ke Naukar Banker
Khud Ko Maa Baap Ki Nazroon Se Giraya Tum Ne
Khoon Ki Tarha Se Mazboot Thay Rishtay Apne
Karke Pani Usse Lamhon Me Bahaya Tum Ne
Teri Her Saans Pe Maa Baap Ne Ehsaan Kiya
Karke Ehsaan Zara Unpe Jitaya Tum Ne
Teri Qatir Jo Shabo Roz The Aankhon Se Rawan
Unheen Ashkon Se Diya Apna Jalya Tum Ne
Hum Ne Socha Tha Zayifi Ka Sahara Ho Tum
Dil Ke Armano Ko Mitti Me Milaya Tum Ne
Hum Ne Ek Lamha Bhi Bhooka Nahi Choda Tujh Ko
Bhook Kya Hai Hame Ehsaas Dilaya Tum Ne
Apne Aansoon Ko Chupakar Tujhe Rone Na Diya
Aur Maa Baap Ko Her Lamha Rulaya Tum Ne
Tujh Ko Palkon Pa Bitha Kar Sada Pala Hum Ne
Hum Ko Tano Ke Siwa Kuch Na Khilaya Tum Ne:::
Tujh Ko Ta Umrr Jo Girne Se Bachatay Hi Rahe
Unko Piri Me Nigahon Se Giraya Tum Ne
Daure Hazir Ki Haqiqat Ko Bata Kar Shayan
Kitni Pasmurda Zameron Ko Jagaya Tum Ne::::