Add Poetry

Maa

Poet: Arwa shamsuddin By: Arwa shamsuddin, karachi

MAA Ki Duaan Aisa Rang Laay
K Hum Khuda K Har Azaab Se Bach Jay

Khaane Woh Mazedaar Banaeen
Lakin Phir Bhi Hum Mon Banaein

Kabhi Gussa Kare Toh Kabhi Pyaar
Abbu Se Shikayat Karne K Liye Raha Woh Har Dam Tayyar

Base Uss K Pair Mein Jannat
Phir Bhi Manaa Hamare Liye Mannat

Kabhi Maare Toh Kabhi Daante
Aakhir Hai Hum Unn K Dulaare

Maa Ka Muqabla Koi Naa Kar Paay
Jo Bhi Aay Haar Kar Chla Jaay

Maa Ka Dil Kabhi Na Dukhana
Maa Jaisi Azeem Namat Ko Kabhi Na Thukrana

MAA Ki Mamta Ka Nhi Koi Saani
Chlo Khatam Ho Gai Kahani

 

Rate it:
Views: 2185
01 Aug, 2015
More Mother Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets