Jo Bhi Sine Me Basaa Letha Hai Ulfath Maa Ki
Bas Wahi Kartha Hai Har Haal Me Khidmath Maa Ki
Isse Badhkar Mein Karun Aur Kya Midhath Maa Ki
Sach Hai Qur'an Bhi Kartha Hai Tilawath Maa Ki
Kaise Bathlaaun Mein Logon Ko Fazilath Maa Ki
Ek Mo'min Ki Hai Pehchaan Ziyarath Maa Ki
Pyaar Hai Ishq Hai Ulfath Hai Muhabbath Sab Hai
Mamtha Sab Se Alag Hai Ye Muhabbath Maa Ki
Dur Ho Jaathi Hai Aankhon Se Meri Har Mushkil
Saamne Aankhon Ke Jab Aathi Hai Surath Maa Ki
Maa Ki Ta'aweez Ko Aankhon Se Mila Kar Rakhlo
Kaam Aa Jaayegi Mushkil Me Zamanath Maa Ki
Kaamyabi Tho Khadam Choomegi Har Manzil Par
Haan Safar Karne Se Pehle Lo Ijaazath Maa Ki
Itna Asaan Nahi Hotha Samajhna Maa Ko
Hogi Aulad Tho Samjhenge Haqiqath Maa Ki
Jab Bhi Dil Tadpega Aulad Ki Har Khwahish Par
Tab Nazar Aayegi Logon Ko Saqawath Maa Ki
Maa Ke Qadmon Me Sajaadi Hai Khuda Ne Jannath
Ghair Mumkin Hai Lagaae Koi Kheemath Maa Ki
Uss Waqath Tak Nahi Mil Sakthi Khuda Ki Jannath
Jab Talak Paaye Na Dunya Me Wo Jannath Maa Ki
Kyun Na Milthi Tujhe Kar Mod Par Shohrath SHAYAN
Teri Aankhon Me Jhalkti Hai Muhabbath Maa Ki