tumhare naam tumhare nishan se be-sarokar
tumhari yaad ke mausam guzarte jaate hain
bas ek manzar-e-be-hijr-o-visal hai jis men
ham apne aap hi kuchh rang bharte jaate hain
na vo nashat-e-tasavvur ki lo tum aa hi gae
na zakhm-e-dil ki hai sozish koi jo sahni ho
na koi vaada-o-paiman ki shaam hai na sahar
na shauq ki hai koi dastan jo kahni ho
nahin jo mahmil-e-laila-e-arzu sar-e-rah
to ab faza men faza ke siva kuchh aur nahin
nahin jo mauj-e-saba men koi shamim-e-payam
to ab saba men saba ke siva kuchh aur nahin
utaar de jo kinare pe ham ko kashti-e-vahm
to gird-o-pesh ko girdab hi samajhte hain