Add Poetry

Main Aur Harf e Shikwah Ghalat Aye Sanam Ghalat,

Poet: Daag Dehlvi By: junaid Ellahi, Multan

Main Aur Harf e Shikwah Ghalat Ay Sanam Ghalat
Vallah Jhoot Hai Ye Khudaa Ki Qasam Ghalat

Ta'areef e Husn Sun Ke Voh Bole Bahut Bajaa
Mazmoon e Shauq Parrh Ke Kahaa Yak Qalam Ghalat

Sun Sun Ke Arz e Haal Ki Taqreer Baar Baar
Kehna Kisi Ka Naaz Se Voh Dam ba Dam Ghalat

Mash'hoor Kis Ka Kehna Hai Jhoota Jahaan Men
Khaata Hai Kon Roz Qasam Par Qasam Ghalat

Bole Voh 'Daagh Aap Hain Jhooton Ke Baadshaah
Ma'ashoq Se Shikayat Jor o Sitam Ghalat

Hooron Se Mileye Khuld Baree'n Ko Sudhaariye
Duniya Men Aap Ka Nahin Hone Ka Gham Ghalat

Rate it:
Views: 3250
22 Apr, 2013
More Daagh Dehlvi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets