Main Bhi Ai Kash Kabhi Mauj-E-Saba Ho Jaun
Is Tawaqqo Pe Ki Khud Se Bhi Juda Ho Jaun
Aaj Ki Raat Ujale Mere Ham-Saya Hain
Hae Wo Log Ki Main Jin Ka Pujari Hun Nasir
Ab Yahi Soch Liya Dil Men Ki Manzil Ke Baghair
Ghar Palat Aaun To Main Aabla-Pa Ho Jaun
Tere Honton Pe Rahun Hamd-O-Sana Ho Jaun
Dhup Nikle To Tere Sar Ki Rida Ho Jaun
Ye Alag Baat Ki Main Tujhse Khafa Ho Jaun
Aarzu Ye Hai Ki Taqdis-E-Hunar Ki Khatir
Hae Wo Log Ki Main Jin Ka Khuda Ho Jaun
Abr Utthe To Simat Jaun Teri Aankhon Men
Phul Ki Tarah Mahakta Hun Teri Yaad Ke Sath
Jis Ke Kuche Men Baraste Rahe Patthar Mujh Par
Kin Pahadon Ki Bulandi Pe Khada Ho Jaun
Apne Hi Samne Mail-Ba-Dua Ho Jaun
Aaj Ki Raat Jo So Lun To Naya Ho Jaun
Marhala Apni Parastish Ka Ho Darpesh To Main
Tisha-E-Waqt Batae Ki Taaruf Ke Liye
Uske Hathon Ke Liye Rang-E-Hina Ho Jaun