Here Is A Reform Of Wasi Shah,S Ghazal ..... I Wrote It Recently B4 My Exams !
Main Hu , Meray Kitaab Hain , Aur Imtihaan Hay
Dil Dar Say Nidhaal Hay , Aur Imtihaan Hay
Aankho Main Ghoom Rahi Hain Kitabo Ki Parchiya
Dil Ki Halat Behaal Hay , Aur Imtihaan Hay
U Laa K Imtihaan Ustado Ko Kiya Mila ?
Tulbaa Ka Ye Sawal Hay , Aur Imtihaan Hay
Facebook Ki Meherbani Say Parhtay Thay Hum Kahan
Tayari Apni Khasta-Haal Hay , Aur Imtihaan Hay
Wo Sab K Jo Kitaab Ko Dekhtay Na Thay Kabhi
Un Chehro Pay Malaal Hay , Aur Imtihaan Hay
SUPPLY Kahi Jo Aai Tou Hoga Phir Apna Kiya ?
Aik Khof-E-Lazawaal Hay , Aur Imtihaan Hay
Chehra Bata Raha Hay Meri Wehshato Ka Rang
Har Cheez Pay Zawal Hay , Aur Imtihaan Hay
ALLAH Ksi Muajzay Say Bus Pass Hi Kar Day
Zubaan Pay Ye Sawaal Hay , Aur Imtihaan Hay