Main Jab Wajud Ke Hairat-kade Se Mil Raha Tha
mujhe laga main kisi moajize se mil raha tha
main jagta tha ki jab log so chuke the tamam
charagh mujh se mere tajarbe se mil raha tha
hawas se hota hua aa gaya main ishq ki samt
ye silsila bhi usi raste se mil raha tha
KHuda se pahli mulaqat ho rahi thi meri
main apne aap ko jab samne se mil raha tha
ajib lai thi jo tasir de rahi thi mujhe
ajib lams tha har zawiye se mil raha tha
main us ke sina-e-shaffaf ki hari lau se
dahak raha tha so pure maze se mil raha tha
sawab-o-taat-o-taqwa fazilat-o-alqab
pare hue the kahin main nashe se mil raha tha
tere jamal ka bujhna to lazmi tha ki tu
baghair ishq kiye aaine se mil raha tha
zamin bhi mere aaghosh-e-surkh mein thi 'ali'
falak bhi mujh se hare zaiqe se mil raha tha