Main Mar Mita To Woh Samjha Ye Inteha Thi Meri
Ese Khabar He Na Thi, Khakh Kimiya Thi Meri
Main Chup Howa To Woh Samjha Ke Baat Khatm Hoi
Pher Es Ke Baad To Awaz Ja-Baja Thi Meri
Jo Tana Zan Tha Meri Poshesh-E Dureda Per
Esi Ke Dosh Pe Rakhi Hoi Qaba Thi Meri
Main Es Ko Yad Karon Bhi To Yad Aata Nahi
Main Es Ko Bhol Gaya Hon, Yahi Saza Thi Meri
Shikast Dey Gaya Apna Gharor He Es Ko
Wagarna Es Ke Muqabil Bisaat Kyat Hi Meri
Kahein Dimagh, Kahein Dil, Kahein Badan He Badan
Her Aik Se Dosti Yari Juda Juda Thi Meri
Koi Bhi Koey Mohabbat Se Pher Nahi Guzra
To Shehar-E-Ishq Mein Kya Aakhri Sada Thi Meri?
Jo Ab Ghamand Se Sir Ko Uthaey Pherta Hai
Esi Tarha Ki To Makhloq Khak-E-Paa Thi Meri
Her Aik Sher Na Tha Dar Khor-E Qaseda Dost
Aur Es Sat Taba-E Rawan Khob Aashna Thi Meri
Main Es Ko Dekhta Rehta Tha Heraton Se Faraz
Ye Zindagi Se Taruf Ki Ibteda Thi Meri