main sach kahun pas-e-diwar jhut bolte hain
mere khilaf mere yar jhut bolte hain
mili hai jab se unhen bolne ki aazadi
tamam shahr ke akhbar jhut bolte hain
main mar chuka hun mujhe kyun yaqin nahin aata
to kya ye mere aza-dar jhut bolte hain
ye shahr-e-ishq bahut jald ujarne wala hai
dukan-dar o kharidar jhut bolte hain
bata rahi hai ye taqrib-e-mimbar-o-mehrab
ki muttaqi o riya-kar jhut bolte hain
qadam qadam pe nai dastan sunate log
qadam qadam pe kai bar jhut bolte hain
main sochta hun ki dam len to main unhen tokun
magar ye log lagatar jhut bolte hain
hamare shahr mein 'aami' munafiqat hai bahut
makin kya dar-o-diwar jhut bolte hain