Dunya Mein Koee Aaap Sa Paida Nahi Huwa
Kaisay Qalam Byaan Kare Shaan-E Mutafa
Urnay Laga Buraaq-E Nabi Jaanib-E Samaa
Taroun Bhari Thi Raat Samaan Khush-Gawaar Tha
Kaisay Qalam Byaan Kare Shaan-E Mutafa
Heraan Hein Jibraeel Khalaaoun Ke Paasibaan
Sidra-E Muntahaa Hay Muhammad Ki Ibtidaa
Kaisay Qalam Byaan Kare Shaan-E Mutafa
Yeh Qurbat-E Visaal Kissi Ko Na Mil Saki
Jab Kekashaan Ke Paar Khudaa Se Milan Huaa
Kaisay Qalam Byaan Kare Shaan-E Mutafa
Qasmein Utha Raha Hay Khuda Husn-E Yaar Ki
Yaseen Rukh Pe Chhaee Jo Wallail Ki Ghataa
Kaisay Qalam Byaan Kare Shaan-E Mutafa
Utra Qura'an-E Paak Falak Se Rassol Per
Shan-E Bulland Aap Karay Unn Ki Kibreya
Kaisay Qalam Byaan Kare Shaan-E Mutafa