Add Poetry

Masbah, Iatiraf-e Bashar

Poet: By: Sahil Farz Raja, Fremont, ca,U.S.A

Mujh Ko Meri Zaat Ka Aeena Dikha Zara
Mujh Ko Meray Samney Ek Baar La Zara

Main Tu Pasti-E-Khak Ka Zarra Hoon Past Sa
Mujh Main Kamal Kia Hai, Yeh Tu Bata Zara

Sar Pe Utha Ke Bojh Gunahoon Ka Phir Raha Hoon
Jahan, A Ke Teri Panah Milay,Woh Rusta Mujh Se Mila Zara

Mujhey Shaoq-E Ghair Kabhi Jo Tha, Woh Zaoq-O-Shaoq Raha Nahin
Ay Nafs-E Zalim Dil Main Ab, Na Umang Koi Jaga Zara

"Sahil" Mang Na Hai Tujh Ko Tu, Ashkoon Main A Ke Maang
Tujh Ko Milay Ga Sab Kuch, Sajday Main Ja Zara

Main Be-Haqeeqat-E Bashar Hoon,Meri Haqeeqat Hai Hi Kia
Tu Haqeeqat-E Haq Hua Teri Haqeeqat Hai Her Jagah

Mazhar-E Kaiynaat Ki Her Sha Main Tu Hai Runoma
Main Tu Khata-Ey Inteha Hoon, Ab Tu Hi Mujh Ko Bacha Zara

Main Past Hoon, Tu Buland Hai, Main Faqeer Hoon, Tu Ameer Hai
Mera Wajood Hai, Be-Wajood, Meri Misaal Haqeer Hai,
Mujhey Teray Dar Ki Hai Justaju, Mujhay Apney Dar Pe Bula Zara

Rate it:
Views: 473
07 Sep, 2010
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets