Vo 'Dost' Jo Dosti Mein Yu Baimaan Hua Karte Hain
Kya Malum Tha Dosti Bhi Matlab Se Kiya Karte Hain
Jab Hoti Hai Zarurat Toh Vo 'Dost' Badhate Hai Haath
Matlab Nikal Jaane Par Wahi Haath Kheech Liya Karte Hain
Labon Par Le Kar Muskaan 'Dost' Aate Hai Karne Salaam
Phir Matlab Na Ho Toh Nazren Pher Liya Karte Hain
Yaa Khuda Maaf Kar Dena Unn Gustaak Doston Ko Jo
Dosti Ka Naam 'Dost' Ban Kar Badnaam Kiya Karte Hain
Jaa Aye Dost Tum Khush Raho Humse Karke Yu Daga
Teri Khushi Ki Hum Aaj Bhi Dil Se Dua Karte Hain