Add Poetry

Mere Ham-Nafas Mere Ham-Nawa Mujhe Dost Ban Ke Dagha Na De

Poet: SHAKEEL BADAYUNI By: Khawaja Mussadiq Rafiq, Karachi

Mere Ham-Nafas Mere Ham-Nava Mujhe Dost Ban Ke Dagha Na De
Main Huun Dard-E-Ishq Se Jan-Ba-Lab Mujhe Zindagi Ki Dua Na De

Mere Dagh-E-Dil Se Hai Raushni Isi Raushni Se Hai Zindagi
Mujhe Dar Hai Ai Mire Chara-Gar Ye Charagh Tu Hi Bujha Na De

Mujhe Chhod De Mire Haal Par Tira Kya Bharosa Hai Chara-Gar
Ye Tiri Navazish-E-Mukhtasar Mira Dard Aur Badha Na De

Mera Azm Itna Buland Hai Ki Para.E Sho.Alon Ka Dar Nahin
Mujhe Khauf Atish-E-Gul Se Hai Ye Kahin Chaman Ko Jala Na De

Vo Uthe Hain Le Ke Khum-O-Subu Are O 'Shakil' Kahan Hai Tu
Tira Jaam Lene Ko Bazm Men Koi Aur Haath Badha Na De
 

Rate it:
Views: 2110
04 Nov, 2019
More Shakeel Badayuni Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets