Mere Rab Ki Mujh Par Inayat Hui
Kahu Bhi To Kese Ibadat Hui
Haqeqat Hui Jese Mujh Par Iyaan
Qalam Ban Gaya Hai Khuda Ki Zubaa
Mukhatib Hai Bande Se Parvardigaar
Tu Husn E Chaman Tu Hi Rang E Bahar
Tu Miraaj E Fan Tu Hi Fan Ka Singaar
Musavir Hun Men Tum Mera Shah Kaar
Mukhatib Hai Bande Se Parvardigaar
Ye Subhen Ye Shame Ye Din Or Raat
Ye Rangeen Dilkash Haseen Kainaat
K Hoor O Malaik Jinnaat Men
Kiya Hai Tujhay Ashraf Al Makhloqaat
Meri Azmato Ka Hawala Hai Tu
Tu Hi Roshni Hai Ujala Hai Tu
Farishton Se Sajda Bhi Krwa Diya
K Tere Liye Men Ne Kya Na Kiya
Ye Duniya Jahan Bazam Araaiyaan
Ye Mehfil Ye Mele Ye Tanhaiyaan
Falak Ka Tujhay Shamiyana Diya
Zameen Par Tujhay Aab O Dana Diya
Mile Aabsharo Se Bhi Tujha Hoslay
Paharon Men Bhi Tujhko Diye Rastay
Ye Paani Hawa Or Shams O Qamar
Ye Mojen Ravan Ye Kinara Bhanwar
Ye Shakho Pe Gunchay Chataktay Huwe
Ye Falak Par Sitary Chamakty Huwe
Ye Sabze Ye Pholon Bhari Kiyariyan
Ye Panchi Ye Urrti Hui Titliyan
Ye Shola Ye Shabnam Ye Mitti Ye Sang
Ye Jharno K Jalty Huwe Jal Tarang
Ye Jheelon Men Hansty Huwe Se Kanwal
Ye Dharti Pe Mausam Ki Likhi Ghazal
Ye Sardi Ye Garmi Ye Barish Ye Dhoop
Ye Chehra Ye Qad Or Ye Rang O Roop
Darindo Charindo Pe Kaabu Diya
Tujhay Bhai De Kar K Bazu Diya
Behan Di Tujhay Or Shareek E Safar
Ye Rihstay Ye Natay Ye Gharana Ye Ghar
Aulaad Bhi Di Diye Waledeen
Alif Laam Meem Qaaf Or Ain Gaen
Ye Aql O Zahanat Ye Shaor O Nazar
Ye Basti Ye Sehra Ye Khushki Ye Tar
Or Us Par Ktaab E Hidayat Bhi Di
Nabi Bhi Utare Shariyat Bhi Di
Garaz K Sabhi Kuch Hai Tere Liye
Bta Kya Kiya Tu Ne Mere Liye?