Mere Rashk E Qamar Tu Ne Pehli Nazar
Jab Nazar Se Milaayi Maza Aa gaya
Barq Si Gir Gayi Kaam Hee Kar Gayi
Aag Aisee Lagaayi Maza Aa gaya
Jaam Mein Ghoul Kar Husan Ke Mastiyan
Chaandni Muskurai Maza Aa gaya
Chaand Ke Sa'ay Mein Ay Mere Saaqiya
Tu Ne Aisee Pilaayi Maza Aa gaya
Nasha Sheeshe Mein Angrai Laine Laga
Bazm Rindaan Mein Saagar Khanakne Laga
Maikade Pe Barasne Lagi Mastiyaan
Jab Ghata Gir Ke Chaayi Maza Aagaya
Be Hijabaana Woh Saamne Aa gaye
Aur Jawaani Jawaani Se Takra Gayi
Aankh Unki Laree Yoon Meri Aankh Se
Daikh Kar Ye Laraai Maza Aa gaya
Aankh Mein Thee Haya Her Mulaqaat Par
Surkh Aariz Hu'ay Wasal Ki Baat Par
Us Ne Sharma Ke Mere Sawaalat Pe
Aise Gardan Jhukaayi Maza Aagaya
Shaikh Sahib Ka Imaan Bik He Gaya
Daikh Kar Husan E Saqi Pigal He Gaya
Aaj Se Pehle Ye Kitne Maghroor The
Lut Gayi Parsaayi Maza Aa gaya
Ay Fana Shukar Hai Aaj Baad E Fana
Us Ne Rakh Le Mere Pyaar Kee Aabro
Apne Haathon Se Usne Meri Qabar Par
Chaadar E Gul Charhaayi Maza Aagaya
Mere Rashk E Qamar Tu Ne Pehli Nazar
Jab Nazar Se Milaayi Maza Aa gaya