Add Poetry

Meri Jaan

Poet: Muhammad Nawaz By: Muhammad Nawaz, sanglahill

Iss Deeda E Tar Pe Na Ho Hairaan ..Meri Jaan
Har Admi Hai Ab Tu Pareshaan ..Meri Jaan

Barood Ke Dhuwain Main Chhupay Jaatay Hain Manzir
Har Zindgi Hai Aik Daastaan ..Meri Jaan

Main Aab Pe Likhi Huwi Ik Sarguzasht Hoon
Kiyoon Dhoond Rhay Ho Mera Unwaan ..Meri Jaan

Tahzeeb Ke Parday Main Chhupi Hai Haiwaaniyyat
Har Cheez Se Arzaan Hai Yahan Jaan.. Meri Jaan

Ik Subh E Khushgwaar Janam Le Gi Wahan Se
Tootay Gi Jahan Ja Ke Meri Taan.. Meri Jaan

Daawa Tu Nhin Hai Mujhay Firdos E Bareen Ka
Haaan! Doondh Rha Hoon Tera Imkan.. Meri Jaan

Apni Hi Pari Hai Yahan Her Aik Nafas Ko
Ye Zeest Hai Ya Hashr Ka Medaan.. Meri Jaan?

Murdaar Ko Mil Jaata Hai Aain Ka Darja
Ban Jaatay Hain Kergas Jahan Sultaan ..Meri Jaan

Kiyoon Par Phailaay Bethi Hai Phir Se Yazeediyyat?
Karbal Main Koi Aa Gya Mehmaan.. Meri Jaan?

Main Hurr Hoon ,Madinay Ki Taraf Dekh Raha Hoon
Jeenay Ko Tarapti Hai Meri Jaan ..Meri Jaan

Rate it:
Views: 540
05 Nov, 2010
More Political Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets