Add Poetry

Meri Nawa-e-Shauk Se Shor Hareem-e-Zaat Mein

Poet: Allama Iqbal By: Hassan, Lahore

Meri Nawa-e-Shauk Se Shor Hareem-e-Zaat Mein
Ghalghala Ha’ay Al-Aman But Kada’ay Sifaat Mein

Hoor-o-Farishta Hain Aseer Mere Takhiyulat Mein
Meri Nigah Se Khalal Teri Tajaliat Mein

Garche Hai Meri Justujoo Dair-e-Haram Ki Naqsh Band
Meri Faghan Se Rustkhaiz Kaaba-O-Somanat Mein

Gah Meri Nigah-e-Taiz Cheer Gyi Dil-e-Wujood
Gah Uljah Ke Reh Gyi Meri Touwahamaat Mein

Tu Ne Ye Kya Ghazab Kiya, Mujh Ko Bhi Fash Kar Diya
Main Hi Tou Aik Raaz Tha Sina’ay Kainat Mein

Rate it:
Views: 1470
14 Jul, 2021
Related Tags on Allama Iqbal Poetry
Load More Tags
More Allama Iqbal Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets