Meri Ulfat Madine Se Yunhi Nahi Lyrics
Poet: Hadi By: Hadi, Dera Ismail KhanMeri Ulfat Madine Se Yun Hi Nahi Mere Aaqa Ka Rouza Madine Mein Hai Mein Madine Ki Jaanib Na Kaise Khinchu Mera Deen Or Duniya Madine Mein Hai Arsh E Aazam Pe Jis Ki Badhi Shaan Hai Roza E Mustafa Jis Ki Pehchaan Hai Jis Ka Hum Palla Koi Mohalla Nahi Ek Aisa Mohalla Madine Mein Hai Phir Mujhe Mout Ka Koi Khatra Na Ho Mout Kya Zindagi Ki Bhi Parwah Na Ho Kaash Sarkaar Ek Baar Mujh Se Kahe Aa Tera Jeena Marna Madine Mein Hai Sarware Dee Jahaa Se Dua Hai Meri Ye Budo Chashmey Tar Ilteja Hai Meri Un Ki Fehreest Mein Mera Bhi Naam Ho Jinn Ka Roz Ana Jaana Madine Mein Hai Jab Nazar Suye Taiba Rawana Hui Saath Dil Bhi Gaya Saath Jaan Bhi Gai Mein Muneer Ab Rahunga Yaha Kisliye Mera Sara Asasa Madine Mein Hai Phool Khilte Hain Padh Padh Ke Salle ‘Ala Jhoom Kar Kah Rahi Hai Ye Bad-e-saba Aesi Khushbu Chaman Ke Gulon Me Kahan Jaisi Khushbu Nabi Ke Paseene Me Hai Ek Hai Jannat Teri Ek Hai Hujra Tera Mere Maula Bata Ab Main Jaaun Kahan Bhej Di Rab Ne Jannat Usi Hujre Me Ammi Ayesha(r.a) Ka Hujra Madine Me Hai Ek Hai Chand Arsh Ka Ek Hai Chand Farsh Ka Farsh Ke Chand Ka Jalwa Dekho Zara Ek Ishare Se Tukde Hua Wo Qamar Is Qamar Ka Qamar Bhi Madine Me Hai Maine Maana Ke Jannat Bohot Hai Haseen Chor Kar Mai Madina Na Jaaun Kahi Kyu Ke Jannat Me Sab Hai Madina Nahi Aur Jannat Madine Me Maojood Hai