Add Poetry

Meri Zindagi To Firaaq Hai

Poet: Naseeruddin Naseer By: zeeshan, Hyderabad

Meri zindagi to firaaq hai, woh azzal se dil main makeen sahi,
Woh nigaah-e-shoq se door hai, rag-e-jaan se laakh qareen sahi,

Humen jaan deni hai aik din, woh kisi tarah woh kahin sahi,
Humen aap kheenchiye daar pr, jo nahin koi to humii sahi,

Sar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, humen intizaar qabool hai,
Woh kabhi mile woh kahin mile, woh kabhi sahi woh kahin sahi,

Na ho un pe kuch mera bass nahin, ke yeh ashiqui hai havass nahi,
Main unhi ka tha main unhi ka hoon, woh mere nahi to nahi sahi,

Mujhe bethne ki jagha mile, meri aarzuu ka bharam rahe,
Teri anjuman me agar nahin, Teri anjuman ke qareen sahi,

Tera dar to na hum ko mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi,
Humen sajdaa karne se kaam hain, jo wahan nahin to yahin sahi,

Meri zindagi ka naseeb hai, nahin door mujh se qareeb hai,
Mujhe uss ka gham to naseeb hai, woh agar nahin to nahin sahi,

Jo ho faisla woh sunaayiye, ussey hashar pr na uthaayiye,
Jo karen ge aap sitam wahan, woh abhi sahi woh yahin sahi,

Unhe dekhne ki jo lau lagi, to Naseer dekh hi lain ge hum,
Woh laakh aankh se door hon, woh hazaar parda-nasheen sahi..

Rate it:
Views: 1977
18 Jan, 2021
More Naseeruddin Naseer Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets